hijr ka visal
yuuñ to sab ke apne apne ḳhvāb haiñ
jaise apnā apnā kafan
aur kaun kis ke kafan kī utran pahan saktā hai
lekin vo jo ik duuje kī qabr meñ so jaane kī
ḳhvāhish meñ dafn hue
apne apne akele-pan kī uḌtī miTTī meñ
kyā un ke bhī apne apne ḳhvāb the
aao ham ik-dūje kī ḳhvāboñ kī tavīl ghūmtī bhūl-bhulayyoñ vaalī ġhulām gardishoñ meñ kho jaa.eñ
aur ek dūsre kī chaap kī sadā-e-bāzgasht ban jaa.eñ
aao ham ek hī fareb ke pīchhe bhāgne kī koshish kareñ
aur azal aur abad kī tanābeñ khīñch kar
ek saath
frēze frame ho jaa.eñ
phir bhī sach hai
ki sab ke apne apne ḳhvāb haiñ
adhūre adhūre
halkī halkī aañch meñ sulagte
raakh hote
aur patjhaḌ meñ uḌte
aur aañsū kab tak patjhaḌ sañvār sakte haiñ
jab tak aañsū dil meñ girte rahte haiñ
dil un ko sukhī dinoñ kī aas dilā kar
thapak thapak kar sulātā rahtā hai
aur saarī tapish jazb kar letā hai apnī dhaḌaktī ḳhāmosh rātoñ meñ
lekin jab koī ziddī aañsū
apne aap se ruuTh ke
gir paḌtā hai
tab to dil bhī nahīñ māntā koī phuslāva
bas aañsū bahne lagte haiñ chup-chāp
patjhaḌ ke pattoñ kī tarah
thake thake qadmoñ kī mānind
pyāre kyā koī aisā bhī din hogā
jab ye din aa jā.egā
aur tab
dil kitne sogvār ho jā.eñge
aur hamāre TuuTe phūTe chehre ek dūsre ko
kaisī khoī khoī nazroñ se dekheñge
sākit ho jā.eñge abad ke chaukhaTe meñ
aur pas-e-manzar meñ saxophone kī siskiyāñ ubhareñgī
aur ek shikasta ḳhvāb kī melody meñ Dhal jā.eñgī
phir bhī sach hai
ki sab ke apne apne ḳhvāb hote haiñ
lekin vo bhī to sach hai pyāre
yun to sab ke apne apne KHwab hain
jaise apna apna kafan
aur kaun kis ke kafan ki utran pahan sakta hai
lekin wo jo ek duje ki qabr mein so jaane ki
KHwahish mein dafn hue
apne apne akele-pan ki uDti miTTi mein
kya un ke bhi apne apne KHwab the
aao hum ik-duje ki KHwabon ki tawil ghumti bhul-bhulayyon wali ghulam gardishon mein kho jaen
aur ek dusre ki chap ki sada-e-bazgasht ban jaen
aao hum ek hi fareb ke pichhe bhagne ki koshish karen
aur azal aur abad ki tanaben khinch kar
ek sath
freeze frame ho jaen
phir bhi sach hai
ki sab ke apne apne KHwab hain
adhure adhure
halki halki aanch mein sulagte
rakh hote
aur patjhaD mein uDte
aur aansu kab tak patjhaD sanwar sakte hain
jab tak aansu dil mein girte rahte hain
dil un ko sukhi dinon ki aas dila kar
thapak thapak kar sulata rahta hai
aur sari tapish jazb kar leta hai apni dhaDakti KHamosh raaton mein
lekin jab koi ziddi aansu
apne aap se ruTh ke
gir paDta hai
tab to dil bhi nahin manta koi phuslawa
bas aansu bahne lagte hain chup-chap
patjhaD ke patton ki tarah
thake thake qadmon ki manind
pyare kya koi aisa bhi din hoga
jab ye din aa jaega
aur tab
dil kitne sogwar ho jaenge
aur hamare TuTe phuTe chehre ek dusre ko
kaisi khoi khoi nazron se dekhenge
sakit ho jaenge abad ke chaukhaTe mein
aur pas-e-manzar mein saxophone ki siskiyan ubharengi
aur ek shikasta KHwab ki melody mein Dhal jaengi
phir bhi sach hai
ki sab ke apne apne KHwab hote hain
lekin wo bhi to sach hai pyare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.