Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hijr ke par bhig jaen

Noshi Gilani

hijr ke par bhig jaen

Noshi Gilani

MORE BYNoshi Gilani

    kahāñ tak ḳhema-e-dil meñ chhupā.eñ

    apnī aasoñ aur pyāsoñ ko

    kahāñ tak ḳhauf ke be-shakl sahrā hathelī par

    kurede jaa.eñ āñkheñ aur

    lakīreñ raushnī phir na ban paa.eñ

    ham insāñ ho ke bhī saa.e ḳhushbū ko taras jaa.eñ

    chalo ik dūsre ḳhvāhishoñ dhuup meñ

    jalte hue āñgan vīrānī meñ āñkheñ band kar leñ aur baras jaa.eñ

    yahāñ tak TuuT kar barseñ ki paanī

    vasl miTTī meñ ḳhushbū gūñdh le aur phir saroñ tak se guzar jaa.e

    zamīn se āsmāñ tak ek manzar sañvar jaa.e

    hamāre rāstoñ par āsmāñ apnī gavāhī bhej de

    ḳhushbū bikhar jaa.e

    zamīñ paañv ko chhū le

    chāñdnī dil meñ utar jaa.e

    havā gar hijr sāzish meñ hisse-dār ban kar darmiyāñ aa.e

    hijr ke par bhiig jaa.eñ aur

    havā paanī meñ mil jaa.e

    kahan tak KHema-e-dil mein chhupaen

    apni aason aur pyason ko

    kahan tak KHauf ke be-shakl sahra ki hatheli par

    kurede jaen aankhen aur

    lakiren raushni ki phir na ban paen

    hum insan ho ke bhi sae ki KHushbu ko taras jaen

    chalo ek dusre ki KHwahishon ki dhup mein

    jalte hue aangan ki virani mein aankhen band kar len aur baras jaen

    yahan tak TuT kar barsen ki pani

    wasl ki miTTi mein KHushbu gundh le aur phir saron tak se guzar jae

    zamin se aasman tak ek hi manzar sanwar jae

    hamare raston par aasman apni gawahi bhej de

    KHushbu bikhar jae

    zamin panw ko chhu le

    chandni dil mein utar jae

    hawa gar hijr ki sazish mein hisse-dar ban kar darmiyan aae

    hijr ke par bhig jaen aur

    hawa pani mein mil jae

    Source :
    • Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 105)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now