hijr
tū paas thā jī ko chain kuchh thā
terā jaanā ki aafat aa.ī
nazroñ se chhupā jo terā chehrā
mere sar par qayāmat aa.ī
baaqī thoḌā sā din thā lekin
merī āñkhoñ meñ thā añdherā
kyūñkar ho sabr mujh se mumkin
dil ko har-dam hai dhyān terā
ai zulm ke aur sitam ke baanī
ai shoḳh jafā-shi.ār ayyār
mujh ko dūbhar hai zindagānī
merī āñkhoñ meñ hai jahāñ taar
ai barq-misāl ai trahdār
ai māh-jabīñ ġhazāl-sīrat
mujh par tār-e-nafas hai ik baar
mujh se kosoñ pare hai rāhat
ghar-bhar sotā hai ek betāb
aaheñ bhar kar taḌap rahā hai
bhūle bhī aañkh ko nahīñ ḳhvāb
zulmat-e-shab kī ajab balā hai
hargiz hargiz mujhe mayassar
aa.ī koī ghaḌī na rāhat
kaisā kaisā rahā huuñ muztar
kitnī kitnī uThā.ī zahmat
dil ko hai saḳht be-qarārī
jiine ke paḌ ga.e haiñ laale
dil kī hālat na ye miTegī
jab tak tū hī na phir sambhāle
mujh ko tanhā.ī go satā.e
tujh ko aish-o-tarab ho maimūñ
mujh par aafat hazār aa.e
tujh se ḳhush-tāla.ī ho maqrūñ
tujh se chhuTnā hai saḳht mushkil
jab tak hai hāfize meñ qudrat
terā terā rahegā ye dil
jab tak na milā.e tujh se qismat
tu pas tha ji ko chain kuchh tha
tera jaana ki aafat aai
nazron se chhupa jo tera chehra
mere sar par qayamat aai
baqi thoDa sa din tha lekin
meri aankhon mein tha andhera
kyunkar ho sabr mujh se mumkin
dil ko har-dam hai dhyan tera
ai zulm ke aur sitam ke bani
ai shoKH jafa-shiar ayyar
mujh ko dubhar hai zindagani
meri aankhon mein hai jahan tar
ai barq-misal ai trahdar
ai mah-jabin ghazal-sirat
mujh par tar-e-nafas hai ek bar
mujh se koson pare hai rahat
ghar-bhar sota hai ek betab
aahen bhar kar taDap raha hai
bhule bhi aankh ko nahin KHwab
zulmat-e-shab ki ajab bala hai
hargiz hargiz mujhe mayassar
aai koi ghaDi na rahat
kaisa kaisa raha hun muztar
kitni kitni uThai zahmat
dil ko hai saKHt be-qarari
jine ke paD gae hain lale
dil ki haalat na ye miTegi
jab tak tu hi na phir sambhaale
mujh ko tanhai go satae
tujh ko aish-o-tarab ho maimun
mujh par aafat hazar aae
tujh se KHush-talai ho maqrun
tujh se chhuTna hai saKHt mushkil
jab tak hai hafize mein qudrat
tera tera rahega ye dil
jab tak na milae tujh se qismat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.