hijr-zad
mire dukh kā ahd tavīl hai
mirā naam lauh-e-firāq par hai likhā huā
maiñ janm janm se kisī meñ aks-e-mushābahat kī talāsh meñ
phir apne ḳhvāb sarāb saath liye hue
gayā shahar shahar nagar nagar
thiiñ ajiib bastiyāñ raah meñ merī jiit merī shikast kī
kisī dūsre kī sadāqateñ mirī rāhbar marī rāhzan
liye saath saath qadam qadam
kabhī pesh-e-ḳhalvat-ā.īna
kabhī sub.h-o-shām kī ḳhilqatoñ ke julūs meñ
ka.ī zāhiroñ, ka.ī bātinoñ ke badalte ruup meñ munqasim
mujhe kar ga.iiñ
maiñ dhuāñ sā ātish-e-asl kā
uḌā aur ḳhud se bichhaḌ gayā
mujhe har qadam pe lagā ki maiñ
safar-āzmāñ huuñ magar mujhe mirī samt kī bhī ḳhabar nahīñ
maiñ halīf apne ġhanīm kā
huuñ jahāñ bhī rāh-e-ziyāñ meñ huuñ
maiñ ḳhayāl-parvar-e-shauq shahr-e-misāl kā
mujhe har maqām pe yuuñ lagā
ki haqīqatoñ ke sagān-e-kucha-navard mujh pe jhapaT paḌeñge yahīñ kahīñ
mujhe duniyā-dār pachhāḌ deñge mufāhamat kī zamīn par
mire haath bhīge hue sadāoñ ke ḳhauf se
mirī saañs larzī huī havā kī machān par
ye farār thā
ki anā kā sāya-o-sā.ebāñ
liyā jis ne apne bachāv meñ
maiñ ravāñ rahā kisī be-numūd sī raushnī ke bahāv meñ
merā pā-e-shauq-e-sazā kahīñ pe rukā nahīñ
ye nasheb-e-shām hai aur maiñ huuñ ravāñ-davāñ
ye nahīñ ki mujh ko amaañ milegī shab-e-abad ke paḌāv meñ
zarā intizār ki jab vajūd kā kūza-gar
mujhe phir se ḳhaak banā chuke
to ye dekhnā
ki shabīh-e-shaḳhs-e-digar meñ lauT ke ā.ūñgā
usī shahr meñ
mirā naam lauh-e-firāq par hai likhā huā
mire dukh kā ahd tavīl hai
mere dukh ka ahd tawil hai
mera nam lauh-e-firaq par hai likha hua
main janm janm se kisi mein aks-e-mushabahat ki talash mein
phir apne KHwab sarab sath liye hue
gaya shahar shahar nagar nagar
thin ajib bastiyan rah mein meri jit meri shikast ki
kisi dusre ki sadaqaten meri rahbar mari rahzan
liye sath sath qadam qadam
kabhi pesh-e-KHalwat-aina
kabhi subh-o-sham ki KHilqaton ke julus mein
kai zahiron, kai baatinon ke badalte rup mein munqasim
mujhe kar gain
main dhuan sa aatish-e-asl ka
uDa aur KHud se bichhaD gaya
mujhe har qadam pe laga ki main
safar-azman hun magar mujhe meri samt ki bhi KHabar nahin
main halif apne ghanim ka
hun jahan bhi rah-e-ziyan mein hun
main KHayal-parwar-e-shauq shahr-e-misal ka
mujhe har maqam pe yun laga
ki haqiqaton ke sagan-e-kucha-naward mujh pe jhapaT paDenge yahin kahin
mujhe duniya-dar pachhaD denge mufahamat ki zamin par
mere hath bhige hue sadaon ke KHauf se
meri sans larzi hui hawa ki machan par
ye farar tha
ki ana ka saya-o-saeban
liya jis ne apne bachaw mein
main rawan raha kisi be-numud si raushni ke bahaw mein
mera pa-e-shauq-e-saza kahin pe ruka nahin
ye nasheb-e-sham hai aur main hun rawan-dawan
ye nahin ki mujh ko aman milegi shab-e-abad ke paDaw mein
zara intizar ki jab wajud ka kuza-gar
mujhe phir se KHak bana chuke
to ye dekhna
ki shabih-e-shaKHs-e-digar mein lauT ke aaunga
usi shahr mein
mera nam lauh-e-firaq par hai likha hua
mere dukh ka ahd tawil hai
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 305)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : Issue No. 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.