hijrat
tum hijrat kā karb nahīñ jānte
tum ne 'intizār-husain' ke afsāne nahīñ paḌhe
'nāsir'-kāzmī' ke ash.ār meñ chhupe hue nauhe nahīñ sune
jo hindostān ko bante dekhā hotā
gharoñ ko jalte dekhā hotā
ismateñ luTtī gardaneñ kaTtī
zindagī bikhartī dekhī hotī
to shāyad tum hijrat kā karb jaan lete
fast-fōd ke shauqīn
apne haal meñ gum
tumhārā koī maz.hab koī nazriya nahīñ hai
peT kī bhuuk se jins kī āsūdgī tak
haivānī fitrat
is hijrat ke dard ko kaise mahsūs kar saktī hai
tum hijrat ka karb nahin jaante
tum ne 'intizar-husain' ke afsane nahin paDhe
'nasir'-kazmi' ke ashaar mein chhupe hue nauhe nahin sune
jo hindostan ko bante dekha hota
gharon ko jalte dekha hota
ismaten luTti gardanen kaTti
zindagi bikharti dekhi hoti
to shayad tum hijrat ka karb jaan lete
fast-food ke shauqin
apne haal mein gum
tumhaara koi mazhab koi nazriya nahin hai
peT ki bhuk se jins ki aasudgi tak
haiwani fitrat
is hijrat ke dard ko kaise mahsus kar sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.