vo āġhosh jis meñ pale
aur pal kar javāñ ham hue haiñ
use chhoḌne kī tadābīr karne meñ masrūf aise hue haiñ
ki zindāñ se qaidī rihā.ī kī rāhoñ kī
ta.amīr karne meñ mashġhūl hote haiñ jaise
vo āġhosh jis meñ javāñ ham hue haiñ
use chhoḌ kar duur jaane ke ehsās se
jo ḳhushī mil rahī hai
kisī bhī tarah is se kamtar nahīñ hai
jo zindāñ se bāhar nikalne meñ mahsūs hotī hai zindāniyoñ ko
ḳhush kā ye ehsās
aisā nahīñ ki faqat ek ham tak hī mahdūd ho
ye ḳhushī ghar ke dīvār-o-dar meñ bhī ghar kar ga.ī hai
maañ bahan baap bhaa.ī bhī gardan uThā.e hue
apne ham-sāyoñ se kahte phirte nazar aa rahe haiñ
ki merā qamar bhī arab jā rahā hai
sharīk-e-safar kī ragoñ meñ bhī ḳhushiyāñ uchhalne lagī haiñ
vo rātoñ kī sab lazzateñ bhuul kar
jaane vaale kī taiyāriyoñ meñ
baḌe chaav se munhamik ho ga.ī hai
ajab jāñ-fizā hai ye hijrat kā manzar
magar ye rivāyat hai
makke se yasrib ko jaate hue
mustafā aur saare sahābī bahut ro rahe the
vatan kī mohabbat inheñ roktī thī
judā.ī jigar meñ tabar bhauñktī thī
vo hijrat kā manzar baḌā jāñ-gusil thā
magar aaj hijrat kā manzar badal sā gayā hai
ye manzar to sach-much baḌā jāñ-fizā hai
magar aisā kyuuñ huā hai
yahāñ to mazālim kī vo saḳhtiyāñ bhī nahīñ haiñ
wo aaghosh jis mein pale
aur pal kar jawan hum hue hain
use chhoDne ki tadabir karne mein masruf aise hue hain
ki zindan se qaidi rihai ki rahon ki
tamir karne mein mashghul hote hain jaise
wo aaghosh jis mein jawan hum hue hain
use chhoD kar dur jaane ke ehsas se
jo KHushi mil rahi hai
kisi bhi tarah is se kamtar nahin hai
jo zindan se bahar nikalne mein mahsus hoti hai zindaniyon ko
KHush ka ye ehsas
aisa nahin ki faqat ek hum tak hi mahdud ho
ye KHushi ghar ke diwar-o-dar mein bhi ghar kar gai hai
man bahan bap bhai bhi gardan uThae hue
apne ham-sayon se kahte phirte nazar aa rahe hain
ki mera qamar bhi arab ja raha hai
sharik-e-safar ki ragon mein bhi KHushiyan uchhalne lagi hain
wo raaton ki sab lazzaten bhul kar
jaane wale ki taiyariyon mein
baDe chaw se munhamik ho gai hai
ajab jaan-fiza hai ye hijrat ka manzar
magar ye riwayat hai
makke se yasrib ko jate hue
mustafa aur sare sahabi bahut ro rahe the
watan ki mohabbat inhen rokti thi
judai jigar mein tabar bhaunkti thi
wo hijrat ka manzar baDa jaan-gusil tha
magar aaj hijrat ka manzar badal sa gaya hai
ye manzar to sach-much baDa jaan-fiza hai
magar aisa kyun hua hai
yahan to mazalim ki wo saKHtiyan bhi nahin hain
- Book : Aank Mein Luknat (Pg. 117)
- Author : Ghazanfar
- Publication : Maktaba Jamia Ltd (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.