hijrat
vo pattharoñ ke qabīle kī reshmī laḌkī
rivāyatoñ kī fasīloñ meñ ḳhud ko qaid kiye
fareb-e-zāt kī ik ḳhushnumā havelī meñ
akele-pan kī kathā sun rahī thī phūloñ se
aur apne aap ko bahlā.e thī parindoñ se
ki us kī ruuh kī vaadī meñ ik hiran-jazba
qulāñcheñ bhartā huā khā.iyoñ meñ dauḌ gayā
ye pattharoñ ke qabīle kī shāhzādī bhī
har e'timād kī zanjīr toḌ kar niklī
talāsh kartī huī apnā vo hiran-jazba
dukhoñ kī jhiil kināre udaas aa baiThī
vo ḳhaar khīñch rahī thī anā ke talvoñ se
kañval hatheliyāñ chhil kar gulāb hone lagīñ
shikan shikan thā ḳhayāloñ kā pairahan saarā
lahū lahū thā tamannāoñ kā badan saarā
gulābī umr ke mausam meñ ghar se niklī thī
vo pattharoñ ke qabīle kī reshmī laḌkī
mohabbatoñ ke qabīle meñ aan pahuñchī thī
wo pattharon ke qabile ki reshmi laDki
riwayaton ki fasilon mein KHud ko qaid kiye
fareb-e-zat ki ek KHushnuma haweli mein
akele-pan ki katha sun rahi thi phulon se
aur apne aap ko bahlae thi parindon se
ki us ki ruh ki wadi mein ek hiran-jazba
qulanchen bharta hua khaiyon mein dauD gaya
ye pattharon ke qabile ki shahzadi bhi
har e'timad ki zanjir toD kar nikli
talash karti hui apna wo hiran-jazba
dukhon ki jhil kinare udas aa baiThi
wo KHar khinch rahi thi ana ke talwon se
kanwal hatheliyan chhil kar gulab hone lagin
shikan shikan tha KHayalon ka pairahan sara
lahu lahu tha tamannaon ka badan sara
gulabi umr ke mausam mein ghar se nikli thi
wo pattharon ke qabile ki reshmi laDki
mohabbaton ke qabile mein aan pahunchi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.