hikayat-e-dauran
Interesting Fact
Printed: Raftaar-e-Nau, Darbhanga 1959
dublā patlā nāzuk 'daurāñ'
shīsha jaisā nāzuk 'daurāñ'
ġham kī kaalī raat kā maarā
apne hī jazbāt kā maarā
āThoñ pahar yuuñ khoyā khoyā
jaise gahrī soch meñ Duubā
kam hañsnā aadat meñ dāḳhil
ḳhāmoshī fitrat meñ dāḳhil
sham.a kī sūrat bazm meñ jalnā
gaah bhaḌaknā gaah pighalnā
māthe par har vaqt shikan sī
chehra par āzurda thakan sī
chehre se mahrūmī zāhir
māsūmī mazlūmī zāhir
āñkheñ har dam umDī umDī
palkeñ har dam bhīgī bhīgī
karb āñkhoñ meñ dard āñkhoñ meñ
rāh-e-vafā kī gard āñkhoñ meñ
sahmā sahmā shām-e-balā se
rūThā rūThā apne ḳhudā se
aql-o-ḳhirad se jī ko churā.e
pāgal-pan se baaz na aa.e
jaane dil meñ kis kī lagan hai
ruuh meñ kis kāñTe kī chubhan hai
ye hai apnā 'daurāñ' yaaro
uljhā suljhā 'daurāñ' yaaro
lekin yaaro yahī musāfir
rāh-e-vafā kā dukhī musāfir
shānoñ par ik bojh ko laade
rāh-e-talab meñ aage aage
dil meñ ik mazbūt irāda
nazroñ meñ ik raushan jaada
ġham kī lambī raat pe bhārī
zulm kā aur zulmat kā shikārī
insānī tahzīb kā qaa.il
duniyā kī ta.amīr pe maa.il
sa.i-e-paiham us kī tamannā
jagmag jagmag us kā rasta
us kī saarī fikr-e-pareshāñ
insānī tanzīm kī ḳhvāhāñ
nazmeñ us kī jān-e-maqāsid
rūh-e-tamaddun shān-e-maqāsid
sub.h pe shaidā shaam pe āshiq
apne vatan ke naam pe āshiq
bāteñ raib-o-riyā se ḳhālī
har naqsh-e-kirdār misālī
pyaar insāñ kā dil meñ chhupā.e
dard-e-jahāñ siine meñ basā.e
'daurāñ' hai yā rūh-e-'daurāñ'
giryāñ giryāñ ḳhandāñ ḳhandāñ
is kī duniyā apnī duniyā
is duniyā meñ saarī duniyā
dubla patla nazuk 'dauran'
shisha jaisa nazuk 'dauran'
gham ki kali raat ka mara
apne hi jazbaat ka mara
aaThon pahar yun khoya khoya
jaise gahri soch mein Duba
kam hansna aadat mein daKHil
KHamoshi fitrat mein daKHil
shama ki surat bazm mein jalna
gah bhaDakna gah pighalna
mathe par har waqt shikan si
chehra par aazurda thakan si
chehre se mahrumi zahir
masumi mazlumi zahir
aankhen har dam umDi umDi
palken har dam bhigi bhigi
karb aankhon mein dard aankhon mein
rah-e-wafa ki gard aankhon mein
sahma sahma sham-e-bala se
ruTha ruTha apne KHuda se
aql-o-KHirad se ji ko churae
pagal-pan se baz na aae
jaane dil mein kis ki lagan hai
ruh mein kis kanTe ki chubhan hai
ye hai apna 'dauran' yaro
uljha suljha 'dauran' yaro
lekin yaro yahi musafir
rah-e-wafa ka dukhi musafir
shanon par ek bojh ko lade
rah-e-talab mein aage aage
dil mein ek mazbut irada
nazron mein ek raushan jada
gham ki lambi raat pe bhaari
zulm ka aur zulmat ka shikari
insani tahzib ka qail
duniya ki tamir pe mail
sai-e-paiham us ki tamanna
jagmag jagmag us ka rasta
us ki sari fikr-e-pareshan
insani tanzim ki KHwahan
nazmen us ki jaan-e-maqasid
ruh-e-tamaddun shan-e-maqasid
subh pe shaida sham pe aashiq
apne watan ke nam pe aashiq
baaten raib-o-riya se KHali
har naqsh-e-kirdar misali
pyar insan ka dil mein chhupae
dard-e-jahan sine mein basae
'dauran' hai ya ruh-e-'dauran'
giryan giryan KHandan KHandan
is ki duniya apni duniya
is duniya mein sari duniya
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 1)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.