hikayat-e-gurezan
maiñ ki lā-intihā vaqt kī rahguzar par
sirf ik lamha-e-muḳhtasar
maiñ ki ehsās-o-afkār ke bahr-e-zaḳhḳhār meñ
sirf ik qatra-e-muztarib meñ ki sahrā-e-hastī kī taptī huī ret par
sirf ik zarra sar-nigūñ
maiñ ki ik vus.at kā.enāt-e-hasīñ meñ
sirf ik nuqta-e-be-sukūñ
maiñ vo qatra ki jis meñ samundar kī betābiyāñ maujzan haiñ
vo lamha jo mustaqbil-o-hāl-o-māzī kā aa.ina hai
maiñ vo nuqta ki jo gardish-e-dahr kā āshnā hai
maiñ vo zarra ki sahrā-e-hastī kī tishna-labī
apne dil meñ chhupā.e
maiñ vo ik jism-e-nāzuk ki jo
nasl-e-insāñ ke dard aur isyāñ kā bār-e-garāñ
apne sar par uThā.e
maiñ vo ik chashm-e-pur-shauq jis ke liye vus.at-e-dasht-o-sahrā bhī kam thī
maiñ ne phir chāñd tāroñ par Daalī kamandeñ
āsmānoñ ke vo jagmagāte makīñ
is anokhī jasārat pe sab muskurā.e
maiñ ki ḳhud mahram-e-zauq-e-parvāz
hamrāz sar-e-bulandī
chāñd tāroñ kī mahfil se nazreñ churā.e
maiñ ki ḳhud sāġhar-e-shauq
paimāna-e-jazb-o-mastī
halqa-e-mai-gusārāñ se dāman bachā.e
maiñ ki ḳhud jur.at-e-ehtirām-e-dīd
ḳhud jur.at-e-ehtirām
sirf ik jur.at-e-ārzū par pashemāñ
maiñ ki ḳhud saare aalam ke dard-o-alam kī amiiñ
apne zaḳhmoñ ke ātish-navā.ī pe ḳhandāñ
maiñ ki har rāz-e-sar-basta se āshnā
maiñ ki āhañg-e-hastī kī hamrāz huuñ
maiñ huuñ sadiyoñ kī khoī huī ik sadā
maiñ anāsir kā TuuTā huā saaz huuñ
main ki la-intiha waqt ki rahguzar par
sirf ek lamha-e-muKHtasar
main ki ehsas-o-afkar ke bahr-e-zaKHKHar mein
sirf ek qatra-e-muztarib mein ki sahra-e-hasti ki tapti hui ret par
sirf ek zarra sar-nigun
main ki ek wusat kaenat-e-hasin mein
sirf ek nuqta-e-be-sukun
main wo qatra ki jis mein samundar ki betabiyan maujzan hain
wo lamha jo mustaqbil-o-haal-o-mazi ka aaina hai
main wo nuqta ki jo gardish-e-dahr ka aashna hai
main wo zarra ki sahra-e-hasti ki tishna-labi
apne dil mein chhupae
main wo ek jism-e-nazuk ki jo
nasl-e-insan ke dard aur isyan ka bar-e-garan
apne sar par uThae
main wo ek chashm-e-pur-shauq jis ke liye wusat-e-dasht-o-sahra bhi kam thi
main ne phir chand taron par Dali kamanden
aasmanon ke wo jagmagate makin
is anokhi jasarat pe sab muskurae
main ki KHud mahram-e-zauq-e-parwaz
hamraaz sar-e-bulandi
chand taron ki mahfil se nazren churae
main ki KHud saghar-e-shauq
paimana-e-jazb-o-masti
halqa-e-mai-gusaran se daman bachae
main ki KHud jurat-e-ehtiram-e-did
KHud jurat-e-ehtiram
sirf ek jurat-e-arzu par pasheman
main ki KHud sare aalam ke dard-o-alam ki amin
apne zaKHmon ke aatish-nawai pe KHandan
main ki har raaz-e-sar-basta se aashna
main ki aahang-e-hasti ki hamraaz hun
main hun sadiyon ki khoi hui ek sada
main anasir ka TuTa hua saz hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.