hilal-e-mah-e-ramzan dekh kar
māh-e-rahmat kī ḳhabar kis ke liye laayā hai tū
kaun terā muntazir thā kis liye aayā hai tū
dekhne hoñge ye din tū ne kabhī sochā na thā
dekh vo manzar jo is se peshtar dekhā na thā
ab kisī ko ātish-e-dozaḳh kā koī Dar nahīñ
bārish-e-rahmat meñ bhī dāman kisī kā tar nahīñ
jab ḳhudā kā Dar nahīñ to fikr-e-uqbā kyuuñ rahe
fāriġh-ul-bālī meñ koī bhūkā pyāsā kyuuñ rahe
dekh le is daur meñ haiñ aise roze-dār bhī
khāte haiñ hotel meñ din bhar karte haiñ iftār bhī
mah-e-rahmat ki KHabar kis ke liye laya hai tu
kaun tera muntazir tha kis liye aaya hai tu
dekhne honge ye din tu ne kabhi socha na tha
dekh wo manzar jo is se peshtar dekha na tha
ab kisi ko aatish-e-dozaKH ka koi Dar nahin
barish-e-rahmat mein bhi daman kisi ka tar nahin
jab KHuda ka Dar nahin to fikr-e-uqba kyun rahe
farigh-ul-baali mein koi bhuka pyasa kyun rahe
dekh le is daur mein hain aise roze-dar bhi
khate hain hotel mein din bhar karte hain iftar bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.