himmat-e-mardan
na.ī tahzīb ne barbād ġhārat kar diyā bilkul
ham apne mulk se ab is ko ġhārat kar ke chhoḌeñge
hamāre ilm o fan sab is ne ruḳhsat kar diye ham se
ham ab hindostāñ se is ko ruḳhsat kar ke chhoḌeñge
ġhulāmī ne hamāre saare jauhar ḳhaak kar Daale
ham apne mulk se duur ab ye la.anat kar ke chhoḌeñge
ham apne mulk par qabza kareñge jis tarah hogā
zabān-e-be-kasī se ḳhatm hujjat kar ke chhoḌeñge
fanā kar deñge ahl-e-jabr-o-istibdād kī hastī
zamīñ meñ dafn rasm-e-jahal-o-vahshat kar ke chhoḌeñge
miTā Dāleñge ham har ḳhud-sar o maġhrūr kā ġhurra
tah-o-bālā nizām-e-kibr-o-naḳhvat kar ke chhoḌeñge
haTā deñge har ik sañg-e-girāñ ko apne raste se
numāyāñ apnī shān-e-istaqāmat kar ke chhoḌeñge
agar koh-e-girāñ bhī hogā apnī raah meñ haa.il
use bhī pā.emāl-e-azm-o-himmat kar ke chhoḌeñge
ġharaz ab ye tahayya kar liyā hai mustaqil ham ne
fanā ik din ye tāġhūtī hukūmat kar ke chhoḌeñge
nai tahzib ne barbaad ghaarat kar diya bilkul
hum apne mulk se ab is ko ghaarat kar ke chhoDenge
hamare ilm o fan sab is ne ruKHsat kar diye hum se
hum ab hindostan se is ko ruKHsat kar ke chhoDenge
ghulami ne hamare sare jauhar KHak kar Dale
hum apne mulk se dur ab ye lanat kar ke chhoDenge
hum apne mulk par qabza karenge jis tarah hoga
zaban-e-be-kasi se KHatm hujjat kar ke chhoDenge
fana kar denge ahl-e-jabr-o-istibdad ki hasti
zamin mein dafn rasm-e-jahal-o-wahshat kar ke chhoDenge
miTa Dalenge hum har KHud-sar o maghrur ka ghurra
tah-o-baala nizam-e-kibr-o-naKHwat kar ke chhoDenge
haTa denge har ek sang-e-giran ko apne raste se
numayan apni shan-e-istaqamat kar ke chhoDenge
agar koh-e-giran bhi hoga apni rah mein hail
use bhi paemal-e-azm-o-himmat kar ke chhoDenge
gharaz ab ye tahayya kar liya hai mustaqil hum ne
fana ek din ye taghuti hukumat kar ke chhoDenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.