hina-rang hathon mein
to kyā
zindagī ne tumheñ vo sabhī kuchh diyā
jis kī tum ārzū-mand thiiñ
ki merī tarah
tamannā ke kashkol ḳhālī rahe
aur baḳhshish kā lamha
tumheñ aur nādār kar ke guzar bhī gayā
mujhe ye batāyā gayā hai
tumhārī umīdoñ kī shādāb fasloñ pe
jab sañg-bārī huī
to TuuTe hue ḳhvāb kī kirchiyāñ
apne ehsās kī saarī vīrāniyoñ meñ chhupā kar bhī
tum ne ye zāhir kiyā
jaise tumhāre qadam zamīñ par nahīñ paḌ rahe hoñ
jaise tum āsmānoñ meñ parvāz kartī rahī ho
garche aatī jaatī huī ek ik saañs meñ
koī āvāz tum se ye kahtī rahī
''hinā-rañg hāthoñ meñ jhūTe nagīne
tumhārī kaḌī sādhnā kā sila to nahīñ
jis ke qadmoñ meñ tum
apne sajdoñ ke motī luTātī ho
vo
tumhārī parastish ke laa.eq ḳhudā to nahīñ''
to ab tum pe zāhir huaa!
ḳhvāb ta.abīr ke rañg meñ jagmagāte nahīñ
sarāboñ kī sūrat meñ ādarsh
jo haath aate nahīñ
maiñ to ye chāhtā thā
ki har moḌ par
tum ko lā-hāsilī ke pareshān-kun tajrabe
se bachā kar rakhūñ
magar merī kamzor chāhat
tumheñ ibtidā-e-safar meñ
shikastoñ se do-chār hote hue
dekhtī rah ga.ī
aur kuchh kar na paa.ī
ab?
kisī samt bhī jaao
kāñToñ bharī raah se hī guzarnā paḌegā
apne ādarsh kī rif.atoñ se
utarne kī ḳhātir
ruuh par jabr karnā paḌegā
aur agar tum ne
jhūTī masarrat kā rañgīñ labāda pahan bhī liyā
to apne pindār kā sāmnā kis tarah kar sakogī?
to kya
zindagi ne tumhein wo sabhi kuchh diya
jis ki tum aarzu-mand thin
ki meri tarah
tamanna ke kashkol KHali rahe
aur baKHshish ka lamha
tumhein aur nadar kar ke guzar bhi gaya
mujhe ye bataya gaya hai
tumhaari umidon ki shadab faslon pe
jab sang-bari hui
to TuTe hue KHwab ki kirchiyan
apne ehsas ki sari viraniyon mein chhupa kar bhi
tum ne ye zahir kiya
jaise tumhaare qadam zamin par nahin paD rahe hon
jaise tum aasmanon mein parwaz karti rahi ho
garche aati jati hui ek ek sans mein
koi aawaz tum se ye kahti rahi
hina-rang hathon mein jhuTe nagine
tumhaari kaDi sadhna ka sila to nahin
jis ke qadmon mein tum
apne sajdon ke moti luTati ho
wo
tumhaari parastish ke laeq KHuda to nahin
to ab tum pe zahir hua!
KHwab tabir ke rang mein jagmagate nahin
sarabon ki surat mein aadarsh
jo hath aate nahin
main to ye chahta tha
ki har moD par
tum ko la-hasili ke pareshan-kun tajrabe
se bacha kar rakhun
magar meri kamzor chahat
tumhein ibtida-e-safar mein
shikaston se do-chaar hote hue
dekhti rah gai
aur kuchh kar na pai
ab?
kisi samt bhi jao
kanTon bhari rah se hi guzarna paDega
apne aadarsh ki rifaton se
utarne ki KHatir
ruh par jabr karna paDega
aur agar tum ne
jhuTi masarrat ka rangin labaada pahan bhi liya
to apne pindar ka samna kis tarah kar sakogi?
- Book : siip-volume-46 (Pg. 159)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.