hindostan
go ḳhaak ho chukā hai hindostāñ hamārā
phir bhī hai kul jahāñ meñ pallā garāñ hamārā
muñh tak rahā hai ab tak saarā jahāñ hamārā
hai naam kishvaroñ meñ vird-e-zabāñ hamārā
zarḳhez hai sarāsar ye gulistāñ hamārā
hai tā.ir-e-tilā.ī hindostāñ hamārā
bhārat meñ dekhte the ham san.ateñ jahāñ kī
mash.hūr thī jahāñ meñ kārīgarī yahāñ kī
vo baat hindiyoñ ne ġhairoñ ke darmiyāñ kī
jis par jhukī hai gardan amboh-e-sarkashāñ kī
miltā thā ilm-o-fan meñ ham-sar kahāñ hamārā
hai tā.ir-e-talā.ī hindostāñ hamārā
taslīm kar rahe haiñ espen aur jāpāñ
sab mānte haiñ lohā german france-o-yūnañ
america meñ hai charchā is mulk kā numāyāñ
bhārat kī saltanat par bartāniya hai nāzāñ
ūñchā hai āsmāñ se ye āstāñ hamārā
hai tā.ir-e-tilā.ī hindostāñ hamārā
parbat kī choTiyāñ haiñ darbāñ hamāre dar kī
dāman meñ jis ke pinhāñ kāneñ haiñ sīm-o-zar kī
gañg-o-jaman pe jis dam sayyād ne nazar kī
sarsabz vādiyoñ se is kī nazar na sar kī
kyā ġhairat-e-iram hai ye bostāñ hamārā
hai tā.ir-e-tilā.ī hindostāñ hamārā
paidā kiye the jis ne arjun kanād gautam
āġhosh meñ pale the jis kī byās-o-bikram
godī meñ jis kī khele the bhiim raam bhisham
jin ke sabab se ab tak hai hindiyoñ meñ dam-ḳham
vo mulk-e-be-badal hai jannat-nishāñ hamārā
hai tā.ir-e-tilā.ī hindostāñ hamārā
go KHak ho chuka hai hindostan hamara
phir bhi hai kul jahan mein palla garan hamara
munh tak raha hai ab tak sara jahan hamara
hai nam kishwaron mein wird-e-zaban hamara
zarKHez hai sarasar ye gulistan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
bhaarat mein dekhte the hum sanaten jahan ki
mashhur thi jahan mein karigari yahan ki
wo baat hindiyon ne ghairon ke darmiyan ki
jis par jhuki hai gardan amboh-e-sarkashan ki
milta tha ilm-o-fan mein ham-sar kahan hamara
hai tair-e-talai hindostan hamara
taslim kar rahe hain espen aur japan
sab mante hain loha german france-o-yunan
america mein hai charcha is mulk ka numayan
bhaarat ki saltanat par bartaniya hai nazan
uncha hai aasman se ye aastan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
parbat ki choTiyan hain darban hamare dar ki
daman mein jis ke pinhan kanen hain sim-o-zar ki
gang-o-jaman pe jis dam sayyaad ne nazar ki
sarsabz wadiyon se is ki nazar na sar ki
kya ghairat-e-iram hai ye bostan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
paida kiye the jis ne arjun kanad gautam
aaghosh mein pale the jis ki byas-o-bikram
godi mein jis ki khele the bhim ram bhisham
jin ke sabab se ab tak hai hindiyon mein dam-KHam
wo mulk-e-be-badal hai jannat-nishan hamara
hai tair-e-tilai hindostan hamara
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.