hindostan
har maz.hab kī ūñchī shaan
jis se banā hai desh mahān
sab ko detā prem kā daan
prem pyaar kī hai ye khaan
hindū muslim sikh īsā.ī
bodh aur jainī kī hai aan
paaTh yahī hai pahlā bas
ban jaao saare insān
viir bano ai pyāre bachcho
tum bhārat kī ho santān
kisī ko koī kashT nahīñ
sab so.e haiñ chādar taan
har maz.hab kā aadar kartā merā bhārat hindostān
har mazhab ki unchi shan
jis se bana hai desh mahan
sab ko deta prem ka dan
prem pyar ki hai ye khan
hindu muslim sikh isai
bodh aur jaini ki hai aan
paTh yahi hai pahla bas
ban jao sare insan
wir bano ai pyare bachcho
tum bhaarat ki ho santan
kisi ko koi kashT nahin
sab soe hain chadar tan
har mazhab ka aadar karta mera bhaarat hindostan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.