hindostan
ḳhār-o-ḳhas ke jhoñpaḌe miTTī ke bosīda makāñ
jaise andhoñ ke ishāre jaise gūñgoñ kī zabāñ
jis tarah utre hue chehroñ pe aañsū ke nishāñ
jis tarah sūkhī huī Tahnī pe ujḌe āshiyāñ
daaġh jin ke sāz-o-sāmāñ dard jin kā pāsbāñ
kyā isī duniyā meñ tū paltā hai ai hindostāñ
ek Dhāñcha haDDiyoñ kā ek chaltī-phirtī laash
jis ko qabristān meñ hai zindagānī kī talāsh
jis ke dil kī dhaḌkanoñ meñ ġham ke phāñsoñ kī ḳharāsh
be-kasī jis kā sahārā muflisī jis kī ma.āsh
dast-o-bāzū jis ke shal jis kā safīna paash paash
kyā isī ko pāltī hai mādar-e-hindostāñ
dhuup se jhulse hue bachche pe fāqoñ ke sitam
jis kī nannhī sī zabāñ sūkhī huī aur aañkh nam
jaise kachchī niiñd se nāzuk papoToñ par varam
jaise mīnā-e-tahī ke dil meñ fikr-e-besh-o-kam
jaise be-ras phuul jaise band muTThī kā bharam
kyā isī ko pāltī hai mādar-e-hindostāñ
is jafā-parvarda ummat ke jafā-parvar imaam
qasr-o-aivāñ ke pujārī zar ke bande-o-ġhulām
ḳhūn-e-dahqāñ se hai rangīñ jin kī azmat kā maqām
jin ke maz.hab meñ sadāqat aur hamdardī harām
kyā unhīñ ke haath meñ hai terī qismat kī lagām
sharm ai hindostāñ afsos ai hindostāñ
ek armān-e-masarrat ek armān-e-qarār
jaise be-pāyāñ samundar ke kināre jū-e-bār
jaise registān meñ bhaTkī huī mauj-e-bahār
jaise vahmoñ kī parastish jaise sāyoñ kā shikār
arz par jaise farishte shahr meñ jaise gañvār
kyā yahī hai iztirāb-e-ārzū hindostāñ
ek āh-e-nā-rasā begāna-e-zauq-e-suḳhan
jaise pahlī shaam ko mahtāb kī maddham kiran
jaise ik andhī kuñvārī kā adhūrā bāñkpan
jaise murjhā.ī huī kaliyoñ meñ rūdād-e-chaman
jaise ik so.e hue kāfir kī abrū meñ shikan
kyā yahī hai quvvat-e-fariyād ai hindostāñ
ik sisaktā saañs ik TuuTā huā tār-e-rabāb
jaise gahrī fikr meñ pichhle pahar kā māhtāb
jaise baasī phuul kī bū jaise patjhaḌ kā gulāb
jaise din meñ chāñd taare jaise dariyā meñ habāb
jaise dīvāne kī jannat jaise muflis kā shabāb
kyā isī ko zindagī kahte haiñ ai hindostāñ
maut kī parchhā.iyoñ meñ palne vaalī zindagī
āñkhoñ se bin TimTimā kar jaane vaalī zindagī
zulmatoñ meñ apnī āñkheñ milne vaalī zindagī
thaam kar laġhzish kā dāman chalne vaalī zindagī
ġham ke sāñche meñ musalsal Dhalne vaalī zindagī
kyā isī ko zindagī kahte haiñ ai hindostāñ
qismatoñ ke dā.ere meñ ghūmne vaalā samāj
Dasne vaalī ek nāgin ek zahrīlā mizāj
nang-e-hastī sar pe ik auhām kī pastī kā taaj
muflisoñ se jo liyā kartī hai gin gin kar ḳhirāj
dafn ho jaatā hai jis ke haath se har roz aaj
kyā isī ke haath meñ hai parcham-e-hindostāñ
āñsuoñ ke naam se kab tak girāyā jā.egā
nāla-o-fariyād meñ kab tak sunāyā jā.egā
ek gahrī niiñd meñ kab tak sulāyā jā.egā
parda-e-taqdīr meñ kab tak chhupāyā jā.egā
tū satāyā jā chukā kab tak satāyā jā.egā
jaag ai hindostāñ haañ jaag ai hindostāñ
KHar-o-KHas ke jhonpaDe miTTi ke bosida makan
jaise andhon ke ishaare jaise gungon ki zaban
jis tarah utre hue chehron pe aansu ke nishan
jis tarah sukhi hui Tahni pe ujDe aashiyan
dagh jin ke saz-o-saman dard jin ka pasban
kya isi duniya mein tu palta hai ai hindostan
ek Dhancha haDDiyon ka ek chalti-phirti lash
jis ko qabristan mein hai zindagani ki talash
jis ke dil ki dhaDkanon mein gham ke phanson ki KHarash
be-kasi jis ka sahaara muflisi jis ki maash
dast-o-bazu jis ke shal jis ka safina pash pash
kya isi ko palti hai madar-e-hindostan
dhup se jhulse hue bachche pe faqon ke sitam
jis ki nannhi si zaban sukhi hui aur aankh nam
jaise kachchi nind se nazuk papoTon par waram
jaise mina-e-tahi ke dil mein fikr-e-besh-o-kam
jaise be-ras phul jaise band muTThi ka bharam
kya isi ko palti hai madar-e-hindostan
is jafa-parwarda ummat ke jafa-parwar imam
qasr-o-aiwan ke pujari zar ke bande-o-ghulam
KHun-e-dahqan se hai rangin jin ki azmat ka maqam
jin ke mazhab mein sadaqat aur hamdardi haram
kya unhin ke hath mein hai teri qismat ki lagam
sharm ai hindostan afsos ai hindostan
ek arman-e-masarrat ek arman-e-qarar
jaise be-payan samundar ke kinare ju-e-bar
jaise registan mein bhaTki hui mauj-e-bahaar
jaise wahmon ki parastish jaise sayon ka shikar
arz par jaise farishte shahr mein jaise ganwar
kya yahi hai iztirab-e-arzu hindostan
ek aah-e-na-rasa begana-e-zauq-e-suKHan
jaise pahli sham ko mahtab ki maddham kiran
jaise ek andhi kunwari ka adhura bankpan
jaise murjhai hui kaliyon mein rudad-e-chaman
jaise ek soe hue kafir ki abru mein shikan
kya yahi hai quwwat-e-fariyaad ai hindostan
ek sisakta sans ek TuTa hua tar-e-rabab
jaise gahri fikr mein pichhle pahar ka mahtab
jaise basi phul ki bu jaise patjhaD ka gulab
jaise din mein chand tare jaise dariya mein habab
jaise diwane ki jannat jaise muflis ka shabab
kya isi ko zindagi kahte hain ai hindostan
maut ki parchhaiyon mein palne wali zindagi
aankhon se bin TimTima kar jaane wali zindagi
zulmaton mein apni aankhen milne wali zindagi
tham kar laghzish ka daman chalne wali zindagi
gham ke sanche mein musalsal Dhalne wali zindagi
kya isi ko zindagi kahte hain ai hindostan
qismaton ke daere mein ghumne wala samaj
Dasne wali ek nagin ek zahrila mizaj
nang-e-hasti sar pe ek auham ki pasti ka taj
muflison se jo liya karti hai gin gin kar KHiraj
dafn ho jata hai jis ke hath se har roz aaj
kya isi ke hath mein hai parcham-e-hindostan
aansuon ke nam se kab tak giraya jaega
nala-o-fariyaad mein kab tak sunaya jaega
ek gahri nind mein kab tak sulaya jaega
parda-e-taqdir mein kab tak chhupaya jaega
tu sataya ja chuka kab tak sataya jaega
jag ai hindostan han jag ai hindostan
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.