hindostan
muflis yahāñ nahīñ haiñ ki beva yahāñ nahīñ
aisā koī nahīñ hai jo āfat-nishāñ nahīñ
ye baat misl-e-shams ayaañ hai nihāñ nahīñ
āzād gar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
zikr-e-chaman zabān par laayā na jā.egā
ab qissa-e-bahār sunāyā na jā.egā
mahsūs kar rahā huuñ batāyā na jā.egā
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
zulm-o-sitam se kaam liyā jā rahā hai aaj
insāf ko tabāh kiyā jā rahā hai aaj
har mulk ko faroġh diyā jā rahā hai aaj
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
ye kah ke kis ne qalb-e-do-ālam hilā diyā
shaitāñ laraz uThā to malak muskurā diyā
ḳhvāb-e-adam se kushta-e-ġham ko jagā diyā
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
har chand aa rahā hai zamāne meñ inqalāb
lekin zabān-e-hāl se kahtā hai āftāb
naslī ġhulām dekh rahe haiñ hanūz ḳhvāb
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
taḳhta ulaT na jaa.e kahīñ kā.enāt kā
qulzum meñ ġharq ho na safīna hayāt kā
detā nahīñ javāb koī merī baat kā
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
sayyād ko jhiñjhoḌ rihā.ī isī meñ hai
tauq-e-ġhulāmī toḌ rihā.ī isī meñ hai
ro ro ke kahnā chhoḌ rihā.ī isī meñ hai
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
duniyā tulī huī hai baġhāvat pe āj-kal
kyā dekhtā hai teġh uThā tevrī badal
maidān-e-kār-zār meñ kahtā huā nikal
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
sehat dil-o-dimāġh baqā aur zindagī
in ne.amatoñ se duur rahe aah aadmī
is par ye lutf hai ki nahīñ ye bhī āgahī
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
duniyā kā har nizām badal jā.egā kabhī
har har marīz-e-mulk sambhal jā.egā kabhī
ye kahte kahte dam bhī nikal jaa.e kabhī
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
insān zindabād ke na.are buland kar
dair-o-haram ke roz ke jhagḌoñ se dar-guzar
ahl-e-jafā ke sāmne kahte hue na Dar
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
tūfān kā nadīm tabāhī kā yaar huuñ
bāġhī huuñ aur dushman-e-sabr-o-qarār huuñ
lekin vatan ke haal pe mātam-gusār huuñ
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
insāniyat kī dahr meñ tazlīl kyuuñ na ho
sarmāya-dār luuT rahe haiñ ġharīb ko
'shātir' agar yaqīn na ho aa ke dekh lo
āzād agar nahīñ hai to hindostāñ nahīñ
muflis yahan nahin hain ki bewa yahan nahin
aisa koi nahin hai jo aafat-nishan nahin
ye baat misl-e-shams ayan hai nihan nahin
aazad gar nahin hai to hindostan nahin
zikr-e-chaman zaban par laya na jaega
ab qissa-e-bahaar sunaya na jaega
mahsus kar raha hun bataya na jaega
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
zulm-o-sitam se kaam liya ja raha hai aaj
insaf ko tabah kiya ja raha hai aaj
har mulk ko farogh diya ja raha hai aaj
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
ye kah ke kis ne qalb-e-do-alam hila diya
shaitan laraz uTha to malak muskura diya
KHwab-e-adam se kushta-e-gham ko jaga diya
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
har chand aa raha hai zamane mein inqalab
lekin zaban-e-haal se kahta hai aaftab
nasli ghulam dekh rahe hain hanuz KHwab
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
taKHta ulaT na jae kahin kaenat ka
qulzum mein gharq ho na safina hayat ka
deta nahin jawab koi meri baat ka
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
sayyaad ko jhinjhoD rihai isi mein hai
tauq-e-ghulami toD rihai isi mein hai
ro ro ke kahna chhoD rihai isi mein hai
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
duniya tuli hui hai baghawat pe aaj-kal
kya dekhta hai tegh uTha tewri badal
maidan-e-kar-zar mein kahta hua nikal
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
sehat dil-o-dimagh baqa aur zindagi
in neamaton se dur rahe aah aadmi
is par ye lutf hai ki nahin ye bhi aagahi
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
duniya ka har nizam badal jaega kabhi
har har mariz-e-mulk sambhal jaega kabhi
ye kahte kahte dam bhi nikal jae kabhi
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
insan zindabaad ke nare buland kar
dair-o-haram ke roz ke jhagDon se dar-guzar
ahl-e-jafa ke samne kahte hue na Dar
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
tufan ka nadim tabahi ka yar hun
baghi hun aur dushman-e-sabr-o-qarar hun
lekin watan ke haal pe matam-gusar hun
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
insaniyat ki dahr mein tazlil kyun na ho
sarmaya-dar luT rahe hain gharib ko
'shatir' agar yaqin na ho aa ke dekh lo
aazad agar nahin hai to hindostan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.