hindostani leader
lālchī kitne ḳhushāmad-ḳhor daulat ke ġhulām
ḳhud-ġharaz makkār ibn-ul-vaqt jhūToñ ke imaam
banda-e-hirs-o-havas ġhaddār matlab-āshnā
paise kī ḳhātir vatan ko bechne vaale batā
kyā tujhe ehsās-e-mahkūmī kabhī hotā bhī hai
tū kabhī hindostāñ ke haal par rotā bhī hai
kyā sunī bhī hai kabhī mazdūroñ ke dil kī pukār
kyā kabhī tū ne jhinjhoḌe bāzū-e-sarmāya-dār
kyā kabhī tū bhī vahāñ pahuñchā hai ai zulmat-ma.āb
jagmagātā hai jahāñ ilm-o-amal kā āftāb
tere siine meñ kabhī bhaḌkī bhī hai ibrat kī aag
terī nabzoñ meñ kabhī machlī bhī hai ġhairat kī aag
tere qaul-o-fe.al meñ tāsīr honī chāhiye
ya.anī tere haath meñ shamshīr honī chāhiye
lalchi kitne KHushamad-KHor daulat ke ghulam
KHud-gharaz makkar ibn-ul-waqt jhuTon ke imam
banda-e-hirs-o-hawas ghaddar matlab-ashna
paise ki KHatir watan ko bechne wale bata
kya tujhe ehsas-e-mahkumi kabhi hota bhi hai
tu kabhi hindostan ke haal par rota bhi hai
kya suni bhi hai kabhi mazduron ke dil ki pukar
kya kabhi tu ne jhinjhoDe bazu-e-sarmaya-dar
kya kabhi tu bhi wahan pahuncha hai ai zulmat-maab
jagmagata hai jahan ilm-o-amal ka aaftab
tere sine mein kabhi bhaDki bhi hai ibrat ki aag
teri nabzon mein kabhi machli bhi hai ghairat ki aag
tere qaul-o-feal mein tasir honi chahiye
yani tere hath mein shamshir honi chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.