hindustani laDkon ka tarana
ham se hī phūloñ kī phaban hai
ham se hī shādāb chaman hai
josh-o-ḳharosh-e-gang-o-jaman hai
shān-e-vatan hai husn-e-vatan hai
ham kyā haiñ taqdīr-e-vatan haiñ
masrūf-e-ta.amīr-e-vatan haiñ
azmat-e-māzī rif.at-e-fardā
raunaq-e-mahfil zīnat-e-duniyā
shaam kā manzar sub.h kā jalvā
gulshan gulshan sahrā sahrā
gul ye khile haiñ fikr-o-nazar ke
sīñchā hai ham ne ḳhūn-e-jigar se
masjid mandir dair kalīsā
taaj mahal elora ajantā
jantar-mantar qutb mināra
kabhī añdherā kabhī ujālā
ham se hī tārīḳh-e-vatan hai
baaqī har ik naqsh-e-kuhan hai
josh-e-amal hai dil meñ hamāre
sard fazā meñ ham haiñ sharāre
toḌ ke laa.eñ charḳh se taare
rokeñ tūfāñ moḌ deñ dhāre
ho ho kar balvān baḌheñge
jag meñ ham parvān chaḌheñge
saḳht marāhil raah meñ aa.eñ
laakh havādis aañkh dikhā.eñ
haa.il agar hoñ tund havā.eñ
vo bhī ham se muñh kī khā.eñ
āñdhī ban kar tez chaleñge
aur manzil par jā ke raheñge
hum se hi phulon ki phaban hai
hum se hi shadab chaman hai
josh-o-KHarosh-e-gang-o-jaman hai
shan-e-watan hai husn-e-watan hai
hum kya hain taqdir-e-watan hain
masruf-e-tamir-e-watan hain
azmat-e-mazi rifat-e-farda
raunaq-e-mahfil zinat-e-duniya
sham ka manzar subh ka jalwa
gulshan gulshan sahra sahra
gul ye khile hain fikr-o-nazar ke
sincha hai hum ne KHun-e-jigar se
masjid mandir dair kalisa
taj mahal elora ajanta
jantar-mantar qutb minara
kabhi andhera kabhi ujala
hum se hi tariKH-e-watan hai
baqi har ek naqsh-e-kuhan hai
josh-e-amal hai dil mein hamare
sard faza mein hum hain sharare
toD ke laen charKH se tare
roken tufan moD den dhaare
ho ho kar balwan baDhenge
jag mein hum parwan chaDhenge
saKHt marahil rah mein aaen
lakh hawadis aankh dikhaen
hail agar hon tund hawaen
wo bhi hum se munh ki khaen
aandhi ban kar tez chalenge
aur manzil par ja ke rahenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.