Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hindu aur musalman

Ufuq Lakhnavi

hindu aur musalman

Ufuq Lakhnavi

MORE BYUfuq Lakhnavi

    faḳhr-e-vatan haiñ donoñ aur donoñ muqtadar haiñ

    haiñ phuul ik chaman ke ik naḳhl ke samar haiñ

    ai qaum tere dukh ke donoñ chāragar haiñ

    donoñ jigar jigar haiñ lekin digar digar haiñ

    aapas ke tafraqoñ se haiñ aah ḳhaar donoñ

    aġhyār nazar meñ haiñ be-vaqār donoñ

    mil kar chalo ki āḳhir donoñ ho bhaa.ī bhaa.ī

    bhaa.ī se kyā laḌā.ī bhaa.ī se kyā burā.ī

    kab tak ye ḳhāna-jangī kab tak ye ḳhud-sitā.ī

    do bhā.iyoñ ko hargiz zebā nahīñ judā.ī

    mil kar gale nikālo dil ġhubār donoñ

    is ḳhaak ke ho putle pāyān-e-kār donoñ

    rashk-e-jināñ banāo hindostāñ ko mil kar

    ḳhūn-e-jigar se sīñcho is gulistāñ ko mil kar

    lahrāo āsmāñ par qaumī nishāñ ko mil kar

    do āb-e-jāñ-nisārī nok-e-sināñ ko mil kar

    faKHr-e-watan hain donon aur donon muqtadar hain

    hain phul ek chaman ke ek naKHl ke samar hain

    ai qaum tere dukh ke donon hi chaaragar hain

    donon jigar jigar hain lekin digar digar hain

    aapas ke tafraqon se hain aah KHar donon

    aghyar ki nazar mein hain be-waqar donon

    mil kar chalo ki aaKHir donon ho bhai bhai

    bhai se kya laDai bhai se kya burai

    kab tak ye KHana-jangi kab tak ye KHud-sitai

    do bhaiyon ko hargiz zeba nahin judai

    mil kar gale nikalo dil ka ghubar donon

    is KHak ke ho putle payan-e-kar donon

    rashk-e-jinan banao hindostan ko mil kar

    KHun-e-jigar se sincho is gulistan ko mil kar

    lahrao aasman par qaumi nishan ko mil kar

    do aab-e-jaan-nisari nok-e-sinan ko mil kar

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now