hippy
sunā hai
ki asrār khulte the agle zamāne meñ insān pe jab zindagī ke
to vo shahr aur bastiyoñ se nikal kar chalā jaatā thā phir
kahīñ jangaloñ meñ guphāoñ meñ kartā ḳhud apnā tajassus
liye ek anjānī manzil kī dil meñ tamannā
ta'alluq kī dīvār-e-bosīda Dhā kar
sar apnā muñDā kar
ramātā thā dhūnī
use log kahte the sanyāsī sādhū
magar aaj kuchh aur hī kaifiyat hai
havādis se afkār se zindagī ke ġhamoñ se bashar bhāgtā hai
unheñ ajnabī jāntā hai
tasallī sahāroñ kī pahchāntā hai
na haal aur fardā na maazī kā ġham hai
na apnī ḳhabar hai na apnoñ se matlab na ġhairoñ kī parvā
kabhī baiTh kar hoTaloñ meñ ye piitā hai coffē
dhueñ meñ kabhī kho ke ye nāchtā hai
kabhī ghūmtā hai ye galiyoñ meñ āvāra hairāñ
baḌhā.e hue baal ruḳhsār-o-sar ke
libās-e-barahna badan par sajā.e
banā.e hue bhes sanyāsiyoñ kā
ab us ne rakhā hai hippy naam apnā
suna hai
ki asrar khulte the agle zamane mein insan pe jab zindagi ke
to wo shahr aur bastiyon se nikal kar chala jata tha phir
kahin jangalon mein guphaon mein karta KHud apna tajassus
liye ek anjaani manzil ki dil mein tamanna
ta'alluq ki diwar-e-bosida Dha kar
sar apna munDa kar
ramata tha dhuni
use log kahte the sanyasi sadhu
magar aaj kuchh aur hi kaifiyat hai
hawadis se afkar se zindagi ke ghamon se bashar bhagta hai
unhen ajnabi jaanta hai
tasalli sahaaron ki pahchanta hai
na haal aur farda na mazi ka gham hai
na apni KHabar hai na apnon se matlab na ghairon ki parwa
kabhi baiTh kar hoTalon mein ye pita hai coffee
dhuen mein kabhi kho ke ye nachta hai
kabhi ghumta hai ye galiyon mein aawara hairan
baDhae hue baal ruKHsar-o-sar ke
libas-e-barahna badan par sajae
banae hue bhes sanyasiyon ka
ab us ne rakha hai hippy nam apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.