dhundlā.ī huī shaam thī
alsā.ī huī sī
aur vaqt bhī baasī thā maiñ jab shahr meñ aayā
har shāḳh se lipTe hue sannāTe khaḌe the
dīvāroñ se chipkī huī ḳhāmoshī paḌī thī
rāhoñ meñ nafas koī na parchhā.īñ na saaya
un galiyoñ meñ kūchoñ meñ, añdherā na ujālā
darvāzoñ ke paT band the, ḳhālī the darīche
bas vaqt ke kuchh baasī se TukḌe the, paḌe the
maiñ ghūmtā phirtā thā sar-e-shahr akelā
darvāzoñ pe āvāz lagātā thaa, koī hai?
har moḌ pe ruk jāatā thā shāyad koī aa.e
lekin koī āhaT, koī saaya bhī na aayā
ye shahr achānak hī magar jaag paḌā hai
āvāzeñ hirāsat meñ liye mujh ko khaḌī haiñ
āvāzoñ ke is shahr meñ maiñ qaid paḌā huuñ
dhundlai hui sham thi
alsai hui si
aur waqt bhi basi tha main jab shahr mein aaya
har shaKH se lipTe hue sannaTe khaDe the
diwaron se chipki hui KHamoshi paDi thi
rahon mein nafas koi na parchhain na saya
un galiyon mein kuchon mein, andhera na ujala
darwazon ke paT band the, KHali the dariche
bas waqt ke kuchh basi se TukDe the, paDe the
main ghumta phirta tha sar-e-shahr akela
darwazon pe aawaz lagata tha, koi hai?
har moD pe ruk jaata tha shayad koi aae
lekin koi aahaT, koi saya bhi na aaya
ye shahr achanak hi magar jag paDa hai
aawazen hirasat mein liye mujh ko khaDi hain
aawazon ke is shahr mein main qaid paDa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.