hiroshima
hiroshima kī sar-zamīñ par
sarkārī daftar ke gumbad ke sāmne
jahāñ
ka.ī baras pahle
mere hī hāthoñ ne bam girāyā thā
aaj maiñ
tārīḳh kā gunāhgār
apne vajūd ke ma.anī kī talāsh meñ
sar jhukā.e khaḌā huuñ
jahāñ har javāb faqat sannāTā hai
na kisī saañs kī āvāz
na charāġh kī lau
is sannāTe meñ
mere bam se jale peḌ se
ek ankur phūTā
aur mujhe dekh kar
muskurā diyā
hiroshima ki sar-zamin par
sarkari daftar ke gumbad ke samne
jahan
kai baras pahle
mere hi hathon ne bam giraya tha
aaj main
tariKH ka gunahgar
apne wajud ke mani ki talash mein
sar jhukae khaDa hun
jahan har jawab faqat sannaTa hai
na kisi sans ki aawaz
na charagh ki lau
is sannaTe mein
mere bam se jale peD se
ek ankur phuTa
aur mujhe dekh kar
muskura diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.