hiroshima ki piDa
kisī raat ko
merī niiñd achānak uchaT jaatī hai
aañkh khul jaatī hai
maiñ sochne lagtā huuñ ki jin vaigyanikoñ ne anu-astroñ kā
avishkār kiyā thā
ve hiroshima nāgā-sākī ke
bhīshan narsanhār ke samāchār sun kar
raat ko so.e kaise hoñge
daañt meñ phañsā tinkā
aañkh kī kirkirī
paañv meñ chubhā kāñTā
āñkhoñ kī niiñd
man kā chain uḌā dete haiñ
sage-sambandhī kī mirtyu
kisī priye kā na rahnā
parichit kā uTh jaanā
yahāñ tak ki pāltū pashū kā bhī vichhoh
hirdai meñ itnī piiḌā itnā vishād bhar detā hai ki
chetnā karne par bhī niiñd nahīñ aatī hai
karvaTeñ badalte raat guzar jaatī hai
kintū jin ke avishkār se
vo antim astr banā
jis ne august 1945 kī kaalī raat ko
hiroshima nāgā-sākī meñ mirtyu kā tānDav kar
do laakh se adhik logoñ kī balī le lī
hazāroñ ko jīvan-bhar ke liye apāhij kar diyā
kyā unheñ ek chhan ke liye sahī ye
anūbhūti huī ki un ke hāthoñ jo kuchh
huā achchhā nahīñ huā
yadi huī to vaqt unheñ kaTghare meñ khaḌā nahīñ karegā
kintū yadi nahīñ huī to itihās unheñ kabhī
muaaf nahīñ karegā
kisi raat ko
meri nind achanak uchaT jati hai
aankh khul jati hai
main sochne lagta hun ki jin waigyanikon ne anu-astron ka
awishkar kiya tha
we hiroshima naga-saki ke
bhishan narsanhaar ke samachaar sun kar
raat ko soe kaise honge
dant mein phansa tinka
aankh ki kirkiri
panw mein chubha kanTa
aankhon ki nind
man ka chain uDa dete hain
sage-sambandhi ki mirtyu
kisi priye ka na rahna
parichit ka uTh jaana
yahan tak ki paltu pashu ka bhi wichhoh
hirdai mein itni piDa itna wishad bhar deta hai ki
chetna karne par bhi nind nahin aati hai
karwaTen badalte raat guzar jati hai
kintu jin ke awishkar se
wo antim astr bana
jis ne august 1945 ki kali raat ko
hiroshima naga-saki mein mirtyu ka tanDaw kar
do lakh se adhik logon ki bali le li
hazaron ko jiwan-bhar ke liye apahij kar diya
kya unhen ek chhan ke liye sahi ye
anubhuti hui ki un ke hathon jo kuchh
hua achchha nahin hua
yadi hui to waqt unhen kaTghare mein khaDa nahin karega
kintu yadi nahin hui to itihas unhen kabhi
muaf nahin karega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.