hirs
Interesting Fact
(Seep, Karachi, Volume: 25, February-March)
auroñ kī kyā kahiye ḳhud merā dil bhī añgāroñ kā matbaḳh hai
sadā mirī āñkhoñ meñ ik vo kashish dahaktī hai jo
sab ko apnī jānib khīñch kar mere vaar kī zad meñ le aatī hai
sab kuchh merī talab kī tishnagiyoñ ke dahāne par hai
añgāroñ ke us matbaḳh meñ girne ko hai
gāḌhā lajz lahū ik vo kailūs jo añgāroñ kā istihāla hai
us mere dil kī kaalī quvvat hai meñ jis ke pas meñ hoñ
ye quvvat mujh se kahtī hai
dekh mire añgāre merī taḌap kā rañg haiñ ab kuchh to un kī ḳhātir bhī
aur añgāre ugaltī sāñsoñ ke saath ab meñ
is duniyā ke andar apne shikār kī talāsh meñ
ik ik ruuh kī ghaat meñ
ik ik ruuh ke sāmne savālī ban ke khaḌā huuñ
mere dil meñ añgāroñ ke dandāne paiham juḌte aur khulte haiñ
bāhar kisī karam kī banāvaT meñ hoñT ek oñkhā Thahrā Thahrā TeḌhā zāviya sā haiñ
koī mujhe ab pahchānegā
kis tarah hañs hañs kar mujh se miltī hai duniyā bad-baḳht
auron ki kya kahiye KHud mera dil bhi angaron ka matbaKH hai
sada meri aankhon mein ek wo kashish dahakti hai jo
sab ko apni jaanib khinch kar mere war ki zad mein le aati hai
sab kuchh meri talab ki tishnagiyon ke dahane par hai
angaron ke us matbaKH mein girne ko hai
gaDha lajz lahu ek wo kailus jo angaron ka istihaala hai
us mere dil ki kali quwwat hai mein jis ke pas mein hon
ye quwwat mujh se kahti hai
dekh mere angare meri taDap ka rang hain ab kuchh to un ki KHatir bhi
aur angare ugalti sanson ke sath ab mein
is duniya ke andar apne shikar ki talash mein
ek ek ruh ki ghat mein
ek ek ruh ke samne sawali ban ke khaDa hun
mere dil mein angaron ke dandane paiham juDte aur khulte hain
bahar kisi karam ki banawaT mein honT ek onkha Thahra Thahra TeDha zawiya sa hain
koi mujhe ab pahchanega
kis tarah hans hans kar mujh se milti hai duniya bad-baKHt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.