hisab-e-jaan!!
ai mere sifr sifr sifr.....!
daa.eñ nahīñ baa.eñ leTo
nafī isbāt ke is visāl meñ
tumhārī ikaa.ī to maiñ huuñ!
kaho!! maiñ tumheñ kaun sī rafāqat se zarb duuñ
ki merī ruuh aur badan par ruvāñ ruvāñ puure aa jaao
tumheñ kaun se hindise par taqsīm karūñ?
ki tanhā.ī jis ke masāvī na aa.e!
nafī isbāt ke is visāl meñ
is se pahle ki ham apne dā.eroñ ko toḌ kar bāhar nikleñ!
hameñ apne bichhḌe hue lams ko qaus banā kar
apne kināroñ ko joḌ lenā chāhiye!
ai mere sifr sifr sifr!
daen nahin baen leTo
nafi isbaat ke is visal mein
tumhaari ikai to main hun!
kaho!! main tumhein kaun si rafaqat se zarb dun
ki meri ruh aur badan par ruwan ruwan pure aa jao
tumhein kaun se hindise par taqsim karun?
ki tanhai jis ke masawi na aae!
nafi isbaat ke is visal mein
is se pahle ki hum apne daeron ko toD kar bahar niklen!
hamein apne bichhDe hue lams ko qaus bana kar
apne kinaron ko joD lena chahiye!
- Book : Aik Qadeem Khayal Ki Nigrani Mein (Pg. 48)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.