hisab-e-shab
maiñ apne aap gum summun udaas vāmāñda
ye sochtā huuñ ki kyā haq hai mujh ko jiine kā
na māhtāb mirā hai na āftāb mirā
na din ke rañg mire haiñ na lutf-e-ḳhvāb mirā
koī qarīb se dekhe to mere dāman meñ
shikāyateñ bhī bahut haiñ mohabbateñ bhī bahut
rivāyateñ bhī bahut haiñ baġhāvateñ bhī bahut
phir ik savāl hai bedār shab ke āñgan meñ
jo ḳhud hī jaag rahā ho udaas bistar par
vo shab ke reñgte lamhāt se kahe kyūñkar
siyāh raat hai aao lipaT ke so jaao
ufuq ke paar nigār-e-sahar ko kyā ma.alūm
dayār-e-shab meñ guzartī hai zindagī kaise
maiñ in ko apne ġhamoñ kā gavāh kaise karūñ
nashāt-e-zīst jo samjheñ mirī mashaqqat ko
misāl-e-reg bikharte hue badan ke sivā
tamām din kī thakan kā koī gavāh nahīñ
mujhe havā-e-sar-e-rah-guzar pasand sahī
magar havā-e-sar-e-rah-guzar mire haq meñ
sumūm-e-ta.ana-o-dushnām le ke aa.ī hai
mirī sahar ke liye shaam le ke aa.ī hai
ḳhulūs-o-rishta-e-mehr-o-vafā se kyā hāsil
kuchh aur chāhiye is ahd kī mohabbat ko
kahūñ to kis se kahūñ ai mire but-e-ma.asūm
matā-e-qalb-o-nazar haar kar huā ma.alūm
fareb thiiñ tirī bāñheñ sarāb the tire hoñT
jab āñsuoñ pe matā-e-vafā kā dhokā thā
to reg-e-dasht ke mānind ḳhushk thiiñ āñkheñ
ab āñsuoñ kī koī qadr hai na qīmat hai
to ashk-bār hī rahne lagī haiñ āñkheñ bhī
maiñ sochtā huuñ mujhe hazm-o-ehtiyāt se kyā
ye zindagī jo dobāra nahīñ milegī mujhe
guzār dūñgā yūñhī ghuum phir ke saḌkoñ par
mire liye yahī ġham haiñ yahī masā.il haiñ
maiñ rā.egāñ huuñ ki huuñ kāmrāñ nahīñ ma.alūm
yahī hai jurm mirā hai yahī ḳhatā merī
rahūñ havā kī tarah dasht-o-dar meñ āvāra
kabhī huuñ jañg pe nādim kabhī hai sulh se ḳhauf
ye jañg-o-sulh kā mafhūm āj-kal kyā hai
isī ḳhayāl meñ jis vaqt niiñd aatī hai
mire lahū meñ mirī saañs meñ mire dil meñ
ġhamoñ kī ajnabī zanjīr khaḌkhaḌātī hai
maiñ ḳhauf-e-habs se yak-laḳht jaag uThtā huuñ
ye sochtā huuñ ki bedāriyoñ meñ ālam-e-ḳhvāb
azaab hai nafas-e-ātish-āshnā kā azaab
mirā sukūñ kisī mujrim kī mohlat-e-ta.azīr
mirī ḳhushī kisī qaidī kā mehmāñ jaise
mirā vajūd guzartā huā dhuāñ jaise
ḳhud apne aap pe ab yuuñ mujhe ta.assuf hai
tamām umr rahā huuñ maiñ rā.egāñ jaise
main apne aap gum summun udas wamanda
ye sochta hun ki kya haq hai mujh ko jine ka
na mahtab mera hai na aaftab mera
na din ke rang mere hain na lutf-e-KHwab mera
koi qarib se dekhe to mere daman mein
shikayaten bhi bahut hain mohabbaten bhi bahut
riwayaten bhi bahut hain baghawaten bhi bahut
phir ek sawal hai bedar shab ke aangan mein
jo KHud hi jag raha ho udas bistar par
wo shab ke rengte lamhat se kahe kyunkar
siyah raat hai aao lipaT ke so jao
ufuq ke par nigar-e-sahar ko kya malum
dayar-e-shab mein guzarti hai zindagi kaise
main in ko apne ghamon ka gawah kaise karun
nashat-e-zist jo samjhen meri mashaqqat ko
misal-e-reg bikharte hue badan ke siwa
tamam din ki thakan ka koi gawah nahin
mujhe hawa-e-sar-e-rah-guzar pasand sahi
magar hawa-e-sar-e-rah-guzar mere haq mein
sumum-e-tana-o-dushnam le ke aai hai
meri sahar ke liye sham le ke aai hai
KHulus-o-rishta-e-mehr-o-wafa se kya hasil
kuchh aur chahiye is ahd ki mohabbat ko
kahun to kis se kahun ai mere but-e-masum
mata-e-qalb-o-nazar haar kar hua malum
fareb thin teri banhen sarab the tere honT
jab aansuon pe mata-e-wafa ka dhoka tha
to reg-e-dasht ke manind KHushk thin aankhen
ab aansuon ki koi qadr hai na qimat hai
to ashk-bar hi rahne lagi hain aankhen bhi
main sochta hun mujhe hazm-o-ehtiyat se kya
ye zindagi jo dobara nahin milegi mujhe
guzar dunga yunhi ghum phir ke saDkon par
mere liye yahi gham hain yahi masail hain
main raegan hun ki hun kaamran nahin malum
yahi hai jurm mera hai yahi KHata meri
rahun hawa ki tarah dasht-o-dar mein aawara
kabhi hun jang pe nadim kabhi hai sulh se KHauf
ye jang-o-sulh ka mafhum aaj-kal kya hai
isi KHayal mein jis waqt nind aati hai
mere lahu mein meri sans mein mere dil mein
ghamon ki ajnabi zanjir khaDkhaDati hai
main KHauf-e-habs se yak-laKHt jag uThta hun
ye sochta hun ki bedariyon mein aalam-e-KHwab
azab hai nafas-e-atish-ashna ka azab
mera sukun kisi mujrim ki mohlat-e-tazir
meri KHushi kisi qaidi ka mehman jaise
mera wajud guzarta hua dhuan jaise
KHud apne aap pe ab yun mujhe tassuf hai
tamam umr raha hun main raegan jaise
- Book : namuud (Pg. 90)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.