hitch-hiker
maiñ ki do roz kā mehmān tire shahr meñ thā
ab chalā huuñ to koī faisla kar bhī na sakā
zindagī kī ye ghaḌī TūTtā pul ho jaise
ki Thahar bhī na sakūñ aur guzar bhī na sakūñ
mehrbāñ haiñ tirī āñkheñ magar ai mūnis-e-jāñ
in se har zaḳhm-e-tamannā to nahīñ bhar saktā
aisī be-nām masāfat ho to manzil kaisī
koī bastī ho baserā hī nahīñ kar saktā
ek muddat huī lailā-e-vatan se bichhḌe
ab bhī riste haiñ magar zaḳhm purāne mere
jab se sarsar mire gulshan meñ chalī hai tab se
barg-e-āvāra kī mānind Thikāne mere
aaj is shahr kal us shahr kā rasta lenā
haa.e kyā chiiz ġharīb-ul-vatanī hotī hai
ye safar itnā musalsal hai ki thak haar ke bhī
baiTh jaatā huuñ jahāñ chhāñv ghanī hotī hai
tū bhī aisā hī dil-ārām shajar hai jis ne
mujh ko is dasht-e-qayāmat se bachā.e rakhā
ek āshufta-sar o ābla-pā kī ḳhātir
kabhī zulfoñ kabhī palkoñ ko bichhā.e rakhā
dukh to har vaqt ta.āqub meñ rahā karte haiñ
yuuñ panāhoñ meñ kahāñ tak koī rah saktā hai
kab talak ret kī dīvār sambhāle koī
vo thakan hai ki merā jism bhī Dah saktā hai
ajnabī log na.e log parā.ī galiyāñ
zindagī aaise qarā.in meñ kaTegī kaise
terī chāhat bhī muqaddas terī qurbat bhī bahisht
des paradesh kī tafrīq ghaTegī kaise
nā-guzīr aaj huā jaise bichhaḌnā apnā
kal kisī roz mulāqāt bhī imkān meñ hai
maiñ ye pairāhan-e-jāñ kaise badal saktā huuñ
ki tirā haath mere dil ke garebān meñ hai
main ki do roz ka mehman tere shahr mein tha
ab chala hun to koi faisla kar bhi na saka
zindagi ki ye ghaDi TuTta pul ho jaise
ki Thahar bhi na sakun aur guzar bhi na sakun
mehrban hain teri aankhen magar ai munis-e-jaan
in se har zaKHm-e-tamanna to nahin bhar sakta
aisi be-nam masafat ho to manzil kaisi
koi basti ho basera hi nahin kar sakta
ek muddat hui laila-e-watan se bichhDe
ab bhi riste hain magar zaKHm purane mere
jab se sarsar mere gulshan mein chali hai tab se
barg-e-awara ki manind Thikane mere
aaj is shahr kal us shahr ka rasta lena
hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai
ye safar itna musalsal hai ki thak haar ke bhi
baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai
tu bhi aisa hi dil-aram shajar hai jis ne
mujh ko is dasht-e-qayamat se bachae rakha
ek aashufta-sar o aabla-pa ki KHatir
kabhi zulfon kabhi palkon ko bichhae rakha
dukh to har waqt taaqub mein raha karte hain
yun panahon mein kahan tak koi rah sakta hai
kab talak ret ki diwar sambhaale koi
wo thakan hai ki mera jism bhi Dah sakta hai
ajnabi log nae log parai galiyan
zindagi aaise qarain mein kaTegi kaise
teri chahat bhi muqaddas teri qurbat bhi bahisht
des paradesh ki tafriq ghaTegi kaise
na-guzir aaj hua jaise bichhaDna apna
kal kisi roz mulaqat bhi imkan mein hai
main ye pairahan-e-jaan kaise badal sakta hun
ki tera hath mere dil ke gareban mein hai
- Book : Kulliyat-e-Ahmed Faraz (Pg. 733)
- Author : Farooq Argali
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd. (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.