hizyan
almān meñ raat ke is pahar
ek hī kursī par baiThe
ek hī manzar ko ghūrte
jab naukrī par night shift karte
merā sātvāñ ghanTa chal rahā hai
to ba-zāhir sab sākit hai
sukūt meñ hai
magar ba-bātin tumhārī sochoñ kā sayyāl
kisī ghuman gherī kī tarah
mere dil-o-dimāġh ke
sabhī nihāñ-o-ayāñ goshoñ meñ
be-āvāz tūfāñ barpā kiye hue hai
tum jo kosoñ duur
apne atrāf meñ raushnī phūTne kā manzar-nāma
farāmosh kiye
bāhnī jānib khulne vaalī khiḌkī ke saath lage
king size palang par akele so rahe ho
tumheñ kyā ḳhabar
sākit manzaroñ meñ tartīb paane vaale
ḳhāmosh tūfān
kaisī tabāhī kā pesh-ḳhema ho sakte haiñ
tumheñ kyā ḳhabar
rat-jagoñ meñ palne vaale
kaale ishq
kaisī gahrī āñkhoñ kā madfan ho sakte haiñ
merā tum se mohabbat nahīñ junūn kā rishta hai
aur majnūñ kī aah se ḳhud junūn bhī ḳhauf khātā hai
tum jo mere junūñ ko niDar sāhiloñ se ho kar
lalkārte rahte ho
tumheñ kyā ḳhabar
tūfānī rātoñ meñ sāhiloñ se lauTne vaalī sadā.eñ
apnī june se bigḌī huī hālatoñ meñ palaTtī haiñ
kabhī jo tum un ke masḳh-shuda chehroñ par
vahshat kī āḌī-tirchhī satreñ paḌh paao
to ek lā-muḳhtatim be-ḳhvābī ke maraz meñ paḌ jaao
alman mein raat ke is pahar
ek hi kursi par baiThe
ek hi manzar ko ghurte
jab naukri par night shift karte
mera satwan ghanTa chal raha hai
to ba-zahir sab sakit hai
sukut mein hai
magar ba-baatin tumhaari sochon ka sayyal
kisi ghuman gheri ki tarah
mere dil-o-dimagh ke
sabhi nihan-o-ayan goshon mein
be-awaz tufan barpa kiye hue hai
tum jo koson dur
apne atraf mein raushni phuTne ka manzar-nama
faramosh kiye
bahni jaanib khulne wali khiDki ke sath lage
king size palang par akele so rahe ho
tumhein kya KHabar
sakit manzaron mein tartib pane wale
KHamosh tufan
kaisi tabahi ka pesh-KHema ho sakte hain
tumhein kya KHabar
rat-jagon mein palne wale
kale ishq
kaisi gahri aankhon ka madfan ho sakte hain
mera tum se mohabbat nahin junun ka rishta hai
aur majnun ki aah se KHud junun bhi KHauf khata hai
tum jo mere junun ko niDar sahilon se ho kar
lalkarte rahte ho
tumhein kya KHabar
tufani raaton mein sahilon se lauTne wali sadaen
apni june se bigDi hui haalaton mein palaTti hain
kabhi jo tum un ke masKH-shuda chehron par
wahshat ki aaDi-tirchhi satren paDh pao
to ek la-muKHtatim be-KHwabi ke maraz mein paD jao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.