hoga yun hi
maiñ tumheñ ek ḳhat likhūñgā
magar use Daak meñ nahīñ Dālūñgā
maiñ banā.ūñgā us kī ek naav
jis pe savār kar ke apnī soch
Thel dūñgā barsāt ke paanī meñ
tumhārī or
tum bhī ek ḳhat likhnā
javābī
magar use Daak meñ mat Daal denā
naav pahuñchne se pahle hī
jab Duub jā.egī
tum tak nahīñ pahuñch pā.egī
merī soch
tum jhujhlānā mujh par
aur ġhusse meñ aa kar
phaaḌ denā us ḳhat ko
jo tum ne abhī nahīñ likhā
main tumhein ek KHat likhunga
magar use Dak mein nahin Dalunga
main banaunga us ki ek naw
jis pe sawar kar ke apni soch
Thel dunga barsat ke pani mein
tumhaari or
tum bhi ek KHat likhna
jawabi
magar use Dak mein mat Dal dena
naw pahunchne se pahle hi
jab Dub jaegi
tum tak nahin pahunch paegi
meri soch
tum jhujhlana mujh par
aur ghusse mein aa kar
phaD dena us KHat ko
jo tum ne abhi nahin likha
- Book : Ek Maheena Nazmon ka (Pg. 156)
- Author : Irshad Kamil
- Publication : Vani Prakashan, Darya Ganj N. Delhi-110002 (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.