aisi manaen holi
ho ke sarshār bahut ishq se gaa.eñ holī
ik na.e rañg se apnoñ ko sunā.eñ holī
le ke aa.ī hai ajab mast adā.eñ holī
mulk meñ aaj na.e ruḳh se dikhā.eñ holī
aaj har shaḳhs ko detī hai sadā.eñ holī
dosto aao chalo aisī manā.eñ holī
mulk se firqa-parastī ko haTā hī Daalo
dair-o-ka.aba ke tafarqe ko miTā hī Daalo
hind ko desh mohabbat kā banā hī Daalo
ye nayā giit zamāne ko sunā hī Daalo
Daal de mulk meñ ulfat kī binā.eñ holī
dosto aao chalo aisī manā.eñ holī
jo mohabbat ke buzurgoñ ne jalā.e the diye
paap kī tez havāoñ se vo ab bujhne lage
aaj parhalād ke bhī hoñT nahīñ kyuuñ hilte
har taraf pūjne vaale haiñ kañval kashyap ke
kaash ban jaa.e gunāhoñ kī chitā.eñ holī
dosto aao chalo aisī manā.eñ holī
har taraf bahne lage amn-o-sukūñ kā dariyā
kaash aa jaa.e buzurgoñ kā samay guzrā huā
rañg ham sab ko badalnā hai agar bhārat kā
aapsī phuuT se hai desh ko phir se ḳhatra
ham ko lāzim hai ki nafrat kī jalā.eñ holī
dosto aao chalo aisī manā.eñ holī
apne bhārat se ġharībī ko miTānā hai hameñ
apnī mehnat se na.e daur ko laanā hai hameñ
desh meñ naaj kā ambār lagānā hai hameñ
kār-ḳhānoñ meñ har ik chiiz banānā hai hameñ
sāz-e-mehnat pe na.e tarz se gaa.eñ holī
dosto aao chalo aisī manā.eñ holī
hind ko aaj mohabbat kī zarūrat hai 'kañval'
aaj har shaḳhs ko ulfat kī zarūrat hai 'kañval'
ab kisānoñ ko bhī himmat kī zarūrat hai 'kañval'
mulk ko ab isī daulat kī zarūrat hai 'kañval'
de rahī hai yahī har ik ko sadā.eñ holī
dosto aao chalo aisī manā.eñ holī
ho ke sarshaar bahut ishq se gaen holi
ek nae rang se apnon ko sunaen holi
le ke aai hai ajab mast adaen holi
mulk mein aaj nae ruKH se dikhaen holi
aaj har shaKHs ko deti hai sadaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
mulk se firqa-parasti ko haTa hi Dalo
dair-o-kaba ke tafarqe ko miTa hi Dalo
hind ko desh mohabbat ka bana hi Dalo
ye naya git zamane ko suna hi Dalo
Dal de mulk mein ulfat ki binaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
jo mohabbat ke buzurgon ne jalae the diye
pap ki tez hawaon se wo ab bujhne lage
aaj parhalad ke bhi honT nahin kyun hilte
har taraf pujne wale hain kanwal kashyap ke
kash ban jae gunahon ki chitaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
har taraf bahne lage amn-o-sukun ka dariya
kash aa jae buzurgon ka samay guzra hua
rang hum sab ko badalna hai agar bhaarat ka
aapsi phuT se hai desh ko phir se KHatra
hum ko lazim hai ki nafrat ki jalaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
apne bhaarat se gharibi ko miTana hai hamein
apni mehnat se nae daur ko lana hai hamein
desh mein naj ka ambar lagana hai hamein
kar-KHanon mein har ek chiz banana hai hamein
saz-e-mehnat pe nae tarz se gaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
hind ko aaj mohabbat ki zarurat hai 'kanwal'
aaj har shaKHs ko ulfat ki zarurat hai 'kanwal'
ab kisanon ko bhi himmat ki zarurat hai 'kanwal'
mulk ko ab isi daulat ki zarurat hai 'kanwal'
de rahi hai yahi har ek ko sadaen holi
dosto aao chalo aisi manaen holi
- Book : Mizraab (Kulliyat) (Pg. 193)
- Author : Prof. Ibne Kanwal
- Publication : Kitabi Duniya, Delhi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.