holi aur hindostan
ik taraf rāhat kā aur farhat kā kaal
ik taraf holī meñ uḌtā hai gulāl
ik taraf yāroñ kī ishrat-koshiyāñ
ik taraf ham aur hāl-e-pur-malāl
ik taraf daur-e-sharāb-ātishīñ
ik taraf talchhaT kā milnā bhī muhāl
dekhte haiñ tujh ko jab uThtī hai huuk
aah ai hindostāñ ai ḳhasta-hāl
rahm ke qābil ye barbādī tirī
diid ke qābil ye terā hai zavāl
kis qadar ḳhūñ-rez hai kitnā qabīh
terī masjid aur mandir kā savāl
uf tire beToñ kī razm-ārā.iyāñ
aah un ke bāhamī jañg-o-jidāl
apne farzandoñ ke ye atvār dekh
dekh ye la.anat ke qābil chāl-Dhāl
kis qadar zillat ke dil-dāda haiñ ye
be-kamālī meñ haiñ kitne bā-kamāl
sīna-e-tahzīb par hai panja-zan
diin ke jhagḌoñ meñ in kā ishti.āl
dāman-e-aḳhlāq par dhabbā hai ek
in kī vahshat-ḳheziyoñ kā ittisāl
ek taraf rahat ka aur farhat ka kal
ek taraf holi mein uDta hai gulal
ek taraf yaron ki ishrat-koshiyan
ek taraf hum aur haal-e-pur-malal
ek taraf daur-e-sharab-atishin
ek taraf talchhaT ka milna bhi muhaal
dekhte hain tujh ko jab uThti hai huk
aah ai hindostan ai KHasta-haal
rahm ke qabil ye barbaadi teri
did ke qabil ye tera hai zawal
kis qadar KHun-rez hai kitna qabih
teri masjid aur mandir ka sawal
uf tere beTon ki razm-araiyan
aah un ke bahami jang-o-jidal
apne farzandon ke ye atwar dekh
dekh ye lanat ke qabil chaal-Dhaal
kis qadar zillat ke dil-dada hain ye
be-kamali mein hain kitne ba-kamal
sina-e-tahzib par hai panja-zan
din ke jhagDon mein in ka ishtial
daman-e-aKHlaq par dhabba hai ek
in ki wahshat-KHeziyon ka ittisal
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 253)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.