holi
baj rahe haiñ madh-bharī āvāz meñ holī ke saaz
khiñch ke āñkhoñ meñ na aa jaa.e dil-e-hirmāñ-navāz
kheltī haiñ rañg aapas meñ kuñvārī laḌkiyāñ
giit holī ke zabāñ par haath meñ pichkāriyāñ
nāliyoñ meñ gir rahe haiñ log pī pī kar sharāb
mulk meñ shāyad nahīñ un ke liye koī azaab
de rahā hai gāliyāñ be-nutq har pīr-o-javāñ
vaah kyā kahnā tirī tahzīb kā hindostāñ
yuuñ jalā.ī jā rahī haiñ saiñkaḌoñ man lakḌiyāñ
apne shauhar par satī huuñ jis tarah hinduvāniyāñ
is tarah lakḌī jalāne se kahīñ chaltā hai kaam
kis qadar mohmal hai ai society terā nizām
kuchh ghar aise haiñ jahāñ jalte nahīñ shab ko charāġh
ġhaur farmāte nahīñ us par magar ahl-e-dimāġh
lakḌiyāñ chun chun ke laatī haiñ saroñ par būḌhiyāñ
jhoñpaḌī se tab kahīñ uThtā hai halkā sā dhuāñ
tā-ba-kai ye rasm-e-bejā tā-ba-kai ye sufla-pan
aao kheleñ ḳhuun kī holī javānān-e-vatan
baj rahe hain madh-bhari aawaz mein holi ke saz
khinch ke aankhon mein na aa jae dil-e-hirman-nawaz
khelti hain rang aapas mein kunwari laDkiyan
git holi ke zaban par hath mein pichkariyan
naliyon mein gir rahe hain log pi pi kar sharab
mulk mein shayad nahin un ke liye koi azab
de raha hai galiyan be-nutq har pir-o-jawan
wah kya kahna teri tahzib ka hindostan
yun jalai ja rahi hain sainkaDon man lakDiyan
apne shauhar par sati hun jis tarah hinduwaniyan
is tarah lakDi jalane se kahin chalta hai kaam
kis qadar mohmal hai ai society tera nizam
kuchh ghar aise hain jahan jalte nahin shab ko charagh
ghaur farmate nahin us par magar ahl-e-dimagh
lakDiyan chun chun ke lati hain saron par buDhiyan
jhonpaDi se tab kahin uThta hai halka sa dhuan
ta-ba-kai ye rasm-e-beja ta-ba-kai ye sufla-pan
aao khelen KHun ki holi jawanan-e-watan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.