holi
dharm-o-jātī-vād ke jhagḌe miTā kar ek baar
aao ham mil kar mohabbat se gale sab se mileñ
buġhz-o-kīna aur hasad shaitāniyat kī den hai
ham use holī kī agnī meñ jalā kar phūñk deñ
hai ye rangā-rang kā tyauhār ham sab ke liye
taaki raushan hoñ har ik dil meñ mohabbat ke diye
holī sachchā.ī kā 'anjum' dene aa.ī hai payām
ismaran kartā rahe prahlād kā har koī naam
dharm-o-jati-wad ke jhagDe miTa kar ek bar
aao hum mil kar mohabbat se gale sab se milen
bughz-o-kina aur hasad shaitaniyat ki den hai
hum use holi ki agni mein jala kar phunk den
hai ye ranga-rang ka tyauhaar hum sab ke liye
taki raushan hon har ek dil mein mohabbat ke diye
holi sachchai ka 'anjum' dene aai hai payam
ismaran karta rahe prahlad ka har koi nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.