holi
dil meñ uThtī hai masarrat kī lahar holī meñ
mastiyāñ jhūmtī haiñ shām-o-sahar holī meñ
saare aalam kī fazā gūñjtī hai naġhmoñ se
kaif-o-mastī ke baraste haiñ guhar holī meñ
dushman aur dost sabhī malte haiñ aapas meñ gulāl
saare be-kār hue teġh-o-tabar holī meñ
mohtasib mast hai aur hazrat-e-vā.is sarshār
mai-kada ban gayā hai aish-nagar holī meñ
kis kī maḳhmūr nigāhoñ ne pilā.e sāġhar
mast-o-be-ḳhud hue sab ahl-e-nazar holī meñ
aaj cupid bhī liye hāthoñ meñ pichkārī hai
us se bach kar bhalā jāoge kidhar holī meñ
ḳhum ke ḳhum tū bhī lunḌhāne kī qasam khā le aaj
dekh zāhid kahīñ rakhiyo na kasar holī meñ
tū samajhtā hai ki hai tū hī nirālā zāhid
are aate haiñ yahāñ tere ḳhusar holī meñ
kapḌe lat-pat kiye kīchaḌ meñ chale aate haiñ
shaiḳh-sāhab ke pisar laḳht-e-jigar holī meñ
būḌhe būḌhe bhī khaḌe takte haiñ lakḌī Tiike
band haiñ rāste aur rāhguzar holī meñ
aur bastī nahīñ ye hind hai sun khol ke kaan
bach ke chalte haiñ yahāñ ḳhvāja ḳhizar holī meñ
mai-kada hai yahāñ sāmān-e-masarrat haiñ 'zarīf'
aa bhī jaao miyāñ be-ḳhauf-o-ḳhatar holī meñ
dil mein uThti hai masarrat ki lahar holi mein
mastiyan jhumti hain sham-o-sahar holi mein
sare aalam ki faza gunjti hai naghmon se
kaif-o-masti ke baraste hain guhar holi mein
dushman aur dost sabhi malte hain aapas mein gulal
sare be-kar hue tegh-o-tabar holi mein
mohtasib mast hai aur hazrat-e-wais sarshaar
mai-kada ban gaya hai aish-nagar holi mein
kis ki maKHmur nigahon ne pilae saghar
mast-o-be-KHud hue sab ahl-e-nazar holi mein
aaj cupid bhi liye hathon mein pichkari hai
us se bach kar bhala jaoge kidhar holi mein
KHum ke KHum tu bhi lunDhane ki qasam kha le aaj
dekh zahid kahin rakhiyo na kasar holi mein
tu samajhta hai ki hai tu hi nirala zahid
are aate hain yahan tere KHusar holi mein
kapDe lat-pat kiye kichaD mein chale aate hain
shaiKH-sahab ke pisar laKHt-e-jigar holi mein
buDhe buDhe bhi khaDe takte hain lakDi Tike
band hain raste aur rahguzar holi mein
aur basti nahin ye hind hai sun khol ke kan
bach ke chalte hain yahan KHwaja KHizar holi mein
mai-kada hai yahan saman-e-masarrat hain 'zarif'
aa bhi jao miyan be-KHauf-o-KHatar holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.