holi
ham se nazar milā.iye holī kā roz hai
tīr-e-nazar chalā.iye holī kā roz hai
baḌhiyā sharāb lā.iye holī kā roz hai
ḳhud pīji.e pilā.iye holī kā roz hai
parda zarā uThā.iye holī kā roz hai
be-ḳhud hameñ banā.iye holī kā roz hai
sanjīda kyuuñ hue mirī sūrat ko dekh kar
sau baar muskurā.iye holī kā roz hai
yuuñ to tamām umr satāyā hai aap ne
lillāh na ab satā.iye holī kā roz hai
bachche galī meñ baiThe haiñ pichkāriyāñ liye
bach bach ke aap jā.iye holī kā roz hai
duniyā ye jāntī hai ġhazal-go 'nahīf' haiñ
un kī ġhazal sunā.iye holī kā roz hai
hum se nazar milaiye holi ka roz hai
tir-e-nazar chalaiye holi ka roz hai
baDhiya sharab laiye holi ka roz hai
KHud pijie pilaiye holi ka roz hai
parda zara uThaiye holi ka roz hai
be-KHud hamein banaiye holi ka roz hai
sanjida kyun hue meri surat ko dekh kar
sau bar muskuraiye holi ka roz hai
yun to tamam umr sataya hai aap ne
lillah na ab sataiye holi ka roz hai
bachche gali mein baiThe hain pichkariyan liye
bach bach ke aap jaiye holi ka roz hai
duniya ye jaanti hai ghazal-go 'nahif' hain
un ki ghazal sunaiye holi ka roz hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.