holi
huā jo aa ke nishāñ āshkār holī kā
bajā rabāb se mil kar sitār holī kā
surūd raqs huā be-shumār holī kā
hañsī ḳhushī meñ baḌhā kārobār holī kā
zabāñ pe naam huā baar baar holī kā
ḳhushī kī dhuum se har ghar meñ rañg banvā.e
gulāl abiir ke bhar bhar ke thaal rakhvā.e
nashoñ ke josh hue raag rañg Thahrā.e
jhamakte ruup ke ban ban ke svāñg dikhlā.e
huā hujūm ajab har kanār holī kā
galī meñ kūche meñ ġhul shor ho rahe aksar
chhiḌakne rañg lage yaar har ghaḌī bhar bhar
badan meñ bhīge haiñ kapḌe gulāl chehroñ par
machī ye dhuum to apne gharoñ se ḳhush ho kar
tamāshā dekhne nikle nigār holī kā
bahār chhiḌakvāñ kapḌoñ kī jab nazar aa.ī
har ishq-bāz ne dil kī murād bharpā.ī
nigah laḌā ke pukārā har ek shaidā.ī
miyāñ ye tum ne jo poshāk apnī dikhlā.ī
ḳhush aayā ab hameñ naqsh-o-nigār holī kā
tumhāre dekh ke muñh par gulāl kī laalī
hamāre dil ko huī har tarah kī ḳhush-hālī
nigah ne dī mai-e-gul-rañg kī bharī pyālī
jo hans ke do hameñ pyāre tum us ghaḌī gaalī
to ham bhī jāneñ ki aisā hai pyaar holī kā
jo kī hai tum ne ye holī kī turfa tayyārī
to hañs ke dekho idhar ko bhī jaan yak baarī
tumhārī aan bahut ham ko lagtī hai pyārī
lagā do haath se apne jo ek pichkārī
to ham bhī dekheñ badan par siñgār holī kā
tumhāre milne kā rakh kar ham apne dil meñ dhyān
khaḌe haiñ aas lagā kar ki dekh leñ ik aan
ye ḳhush-dilī kā jo Thahrā hai aan kar sāmān
gale meñ Daal ke bāñheñ ḳhushī se tum ai jaan
pahnāo ham ko bhī ik dam ye haar holī kā
udhar se rañg liye aao tum idhar se ham
gulāl abiir maleñ muñh pe ho ke ḳhush har dam
ḳhushī se boleñ hañseñ holī khel kar bāham
bahut dinoñ se hameñ to tumhāre sar kī qasam
isī ummīd meñ thā intizār holī kā
butoñ kī gāliyāñ hans hans ke koī sahtā hai
gulāl paḌtā hai kapḌoñ se rañg bahtā hai
lagā ke taak koī muñh ko dekh rahtā hai
'nazīr' yaar se apne khaḌā ye kahtā hai
mazā dikhā hameñ kuchh tū bhī yaar holī kā
hua jo aa ke nishan aashkar holi ka
baja rabab se mil kar sitar holi ka
surud raqs hua be-shumar holi ka
hansi KHushi mein baDha karobar holi ka
zaban pe nam hua bar bar holi ka
KHushi ki dhum se har ghar mein rang banwae
gulal abir ke bhar bhar ke thaal rakhwae
nashon ke josh hue rag rang Thahrae
jhamakte rup ke ban ban ke swang dikhlae
hua hujum ajab har kanar holi ka
gali mein kuche mein ghul shor ho rahe aksar
chhiDakne rang lage yar har ghaDi bhar bhar
badan mein bhige hain kapDe gulal chehron par
machi ye dhum to apne gharon se KHush ho kar
tamasha dekhne nikle nigar holi ka
bahaar chhiDakwan kapDon ki jab nazar aai
har ishq-baz ne dil ki murad bharpai
nigah laDa ke pukara har ek shaidai
miyan ye tum ne jo poshak apni dikhlai
KHush aaya ab hamein naqsh-o-nigar holi ka
tumhaare dekh ke munh par gulal ki lali
hamare dil ko hui har tarah ki KHush-haali
nigah ne di mai-e-gul-rang ki bhari pyali
jo hans ke do hamein pyare tum us ghaDi gali
to hum bhi jaanen ki aisa hai pyar holi ka
jo ki hai tum ne ye holi ki turfa tayyari
to hans ke dekho idhar ko bhi jaan yak bari
tumhaari aan bahut hum ko lagti hai pyari
laga do hath se apne jo ek pichkari
to hum bhi dekhen badan par singar holi ka
tumhaare milne ka rakh kar hum apne dil mein dhyan
khaDe hain aas laga kar ki dekh len ek aan
ye KHush-dili ka jo Thahra hai aan kar saman
gale mein Dal ke banhen KHushi se tum ai jaan
pahnao hum ko bhi ek dam ye haar holi ka
udhar se rang liye aao tum idhar se hum
gulal abir malen munh pe ho ke KHush har dam
KHushi se bolen hansen holi khel kar baham
bahut dinon se hamein to tumhaare sar ki qasam
isi ummid mein tha intizar holi ka
buton ki galiyan hans hans ke koi sahta hai
gulal paDta hai kapDon se rang bahta hai
laga ke tak koi munh ko dekh rahta hai
'nazir' yar se apne khaDa ye kahta hai
maza dikha hamein kuchh tu bhi yar holi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.