holi
jab aa.ī holī rañg-bharī sau nāz-o-adā se maTak maTak
aur ghūñghaT ke paT khol diye vo ruup dikhlā chamak chamak
kuchh mukhḌā kartā damak damak kuchh abran kartā jhalak jhalak
jab paañv rakhā ḳhush-vaqtī se tab paa.il baajī jhanak jhanak
kuchh uchhlīñ sunnateñ naaz bharīñ kuchh godeñ aa.iiñ thirak thirak
ye ruup dikhā kar holī ke jab man rasīle Tuk maTke
mañgvā.e thaal gulāloñ ke bhar Daale rañgoñ se maTke
phir saañg bahut tayyār hue aur ThāTh ḳhushī ke jhur maTke
ġhul shor hue ḳhush-hālī ke aur nāchne gaane ke khaTke
mirdañgeñ bājeñ taal baje kuchh khanak khanak kuchh dhanak dhanak
poshāk-e-chhiḌakvāñ se har jā tayyārī rañgīñ-poshoñ kī
aur bhīgī jāgah rañgoñ se kar kunj galī aur kūchoñ kī
har jāgah zard libāsoñ se huī zīnat sab āġhoshoñ kī
sau aish-o-tarab kī dhueñ meñ aur mahfil meñ mai-noshoñ kī
mai niklī jaam gulābī kuchh lahak lahak kuchh chhalak chhalak
har chaar taraf ḳhush-vaqtī se daf baaje rañg aur rañg hoī
kuchh dhūmeñ farhat ishrat kī kuchh aish ḳhushī ke rañg hue
dil shaad hue ḳhush-hālī se aur ishrat ke sau Dhañg hue
ye jhamkī rañgat holī kī jo dekhne vaale dañg hue
mahbūb parī-rū bhī nikle kuchh jhijak jhijak kuchh ThiThak ThiThak
jab ḳhūbāñ aa.e rañg bhare phir kyā kyā holī jhamak uThī
kuchh husn kī jhamkeñ naaz bharīñ kuchh shoḳhī naaz adāoñ kī
sab chūmne vaale gird dukhḌe nazāra karte hañsī-ḳhushī
mahbūb nashe key ḳhūbī meñ phir āshiq uupar ghaḌī ghaḌī
haiñ rañg chhiḌakte surḳhī ke kuchh lapak lapak kuchh jhapak jhapak
hai dhuum ḳhushī kī har jānib aur kasrat hai ḳhush-vaqtī kī
haiñ charche hote farhat ke aur ishrat kī bhī dhuum machī
ḳhūbāñ ke rañgīñ chehroñ par har aan nigāheñ haiñ laḌtī
mahbūb bhigo.eñ āshiq ko aur āshiq hans kar un ko bhī
ḳhush ho kar un ko bhigoveñ haiñ kuchh aTak aTak kuchh humak humak
vo shoḳh rañgīlā jab aayā yaañ holī kī kar tayyārī
poshāk sunahrī zeb-e-badan aur haath chamaktī pichkārī
kī rañg chhiḌakne se kyā kyā us shoḳh ne har-dam ayyārī
ham ne bhī 'nazīr' us chanchal ko phir ḳhuub bhigoyā har baarī
phir kyā kyā rañg bahe us dam kuchh Dhalak Dhalak kuchh chipak chipak
jab aai holi rang-bhari sau naz-o-ada se maTak maTak
aur ghunghaT ke paT khol diye wo rup dikhla chamak chamak
kuchh mukhDa karta damak damak kuchh abran karta jhalak jhalak
jab panw rakha KHush-waqti se tab pail baji jhanak jhanak
kuchh uchhlin sunnaten naz bharin kuchh goden aain thirak thirak
ye rup dikha kar holi ke jab man rasile Tuk maTke
mangwae thaal gulalon ke bhar Dale rangon se maTke
phir sang bahut tayyar hue aur ThaTh KHushi ke jhur maTke
ghul shor hue KHush-haali ke aur nachne gane ke khaTke
mirdangen bajen tal baje kuchh khanak khanak kuchh dhanak dhanak
poshak-e-chhiDakwan se har ja tayyari rangin-poshon ki
aur bhigi jagah rangon se kar kunj gali aur kuchon ki
har jagah zard libason se hui zinat sab aaghoshon ki
sau aish-o-tarab ki dhuen mein aur mahfil mein mai-noshon ki
mai nikli jam gulabi kuchh lahak lahak kuchh chhalak chhalak
har chaar taraf KHush-waqti se daf baje rang aur rang hoi
kuchh dhumen farhat ishrat ki kuchh aish KHushi ke rang hue
dil shad hue KHush-haali se aur ishrat ke sau Dhang hue
ye jhamki rangat holi ki jo dekhne wale dang hue
mahbub pari-ru bhi nikle kuchh jhijak jhijak kuchh ThiThak ThiThak
jab KHuban aae rang bhare phir kya kya holi jhamak uThi
kuchh husn ki jhamken naz bharin kuchh shoKHi naz adaon ki
sab chumne wale gird dukhDe nazara karte hansi-KHushi
mahbub nashe key KHubi mein phir aashiq upar ghaDi ghaDi
hain rang chhiDakte surKHi ke kuchh lapak lapak kuchh jhapak jhapak
hai dhum KHushi ki har jaanib aur kasrat hai KHush-waqti ki
hain charche hote farhat ke aur ishrat ki bhi dhum machi
KHuban ke rangin chehron par har aan nigahen hain laDti
mahbub bhigoen aashiq ko aur aashiq hans kar un ko bhi
KHush ho kar un ko bhigowen hain kuchh aTak aTak kuchh humak humak
wo shoKH rangila jab aaya yan holi ki kar tayyari
poshak sunahri zeb-e-badan aur hath chamakti pichkari
ki rang chhiDakne se kya kya us shoKH ne har-dam ayyari
hum ne bhi 'nazir' us chanchal ko phir KHub bhigoya har bari
phir kya kya rang bahe us dam kuchh Dhalak Dhalak kuchh chipak chipak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.