judā na ham se ho ai ḳhush-jamāl holī meñ
ki yaar phirte haiñ yāroñ ke taal holī meñ
har ek aish se haigā bahāl holī meñ
bahār aur kuchh ab ke hai saal holī meñ
mazā hai sair hai har sū kamāl holī meñ
sabhoñ ke aish ko phāgun kā ye mahīna hai
safed-o-zard meñ lekin kamāl kiina hai
talā kā zard kane sar-basar ḳhazīna hai
safed paas faqat siim kā dafīna hai
har ek dil meñ hai rustam-o-zāl holī meñ
kahā safed se āḳhir ko zard ne ye payām
ki ai safed tū ab chhoḌ de jahāñ kā maqām
maiñ aayā ab to mirā band-o-bast hogā tamām
tū mujh se aan ke mil chhoḌ apnī zid kā kalām
vagarna khīñgā tū infi.āl holī meñ
milegā mujh se to maiñ tujh ko phir baḌhā.uñgā
banā ke aap sā paas apne le biThāuñgā
kahā safed ne maiñ mutlaqan na ā.uñgā
tujhī ko baad ka.ī din ke maiñ bhigā.ungā
tū apnā dekhiyo kyā hogā haal holī meñ
ye sun ke taish meñ aa zard kā sipah-sālār
chaḌh aaya fauj ko le kar safed par yak-bār
udhar safed bhī laḌne ko ho ke aayā savār
saf-e-muqābla donoñ kī jab huiiñ tayyār
huā karaḳht javāb-o-savāl holī meñ
milā idhar se safed aur udhar se zard bahār
ghaTā.eñ rañg-ba-rañg faujoñ kī jhukīñ sarshār
pakhāleñ mashkeñ chhuTīñ rañg key paḌī pauchhār
aur chaar taraf se pichkāriyoñ key maarā maarā
uḌā zamīñ se zamāñ tak gulāl holī meñ
yahāñ to donoñ meñ aapas meñ ho rahī ye jañg
udhar se aayā jo ik shoḳh bā-ruḳh-e-gul-rañg
hazāroñ nāznīñ māshūq aur us ke sañg
nashe meñ mast khulī zulf joḌe rañg-ba-rañg
kahā ki pūchho to kyā hai ye haal holī meñ
kahā kisī ne ki ai bādshāh-e-mah-rū yaañ
safed-o-zard ye aapas meñ laḌ rahe haiñ yahāñ
ye sun ke aap vo donoñ ke aa gayā darmiyāñ
idhar se thāñbā use aur udhar us ko ki haañ
tum is qadar na karo iḳhtilāl holī meñ
kahā tumhārī ḳhusūmat kā mājrā hai kyā
kahā safed ne nāhaq ye zard hai laḌtā
ye sun ke us ne vahīñ apnā ik mañgā joḌā
phir apne haath se joḌe ko chhiḌakvāñ rañvā
kahā ki donoñ raho shāmil-e-hāl holī meñ
phir apne tan meñ jo pahnā vo ḳhil.at-e-rañgīñ
sabhoñ ko hukm kiyā tum bhī pahno ab yuuñ hiiñ
hazāroñ laḌkoñ ne pahne vo joḌne phir vūñhīñ
pukārī ḳhalq ki insāf chāhiye yūñhīñ
huā phir aur hī husn-o-jamāl holī meñ
miyāñ maiñ kyā kahūñ phir is maze kī Thahrī bahār
jidhar ko aañkh uThā kar nazar karo ik baar
hazāroñ baaġh ravāñ haiñ karoḌoñ haiñ gulzār
chaman chaman paḌe phirte haiñ sarv gul ruḳhsār
ajab bahār ke haiñ naunihāl holī meñ
jo nahar husn kī hai mauj maar chaltī hai
alam liye hue aage bahār chaltī hai
agāḌī mast saf-e-gul-ezār chaltī hai
pachhāḌī āshiqoñ kī sab qatār chaltī hai
bhuul ke dil meñ ḳhushī kā ḳhayāl holī meñ
gulāl abiir se kitne bhare haiñ chaupā.e
tamām hāthoñ meñ gaḌve bhī rañg ke laa.e
koī kahe hai kisī se ki ham bhī lo aa.e
to us se kahtā vo hans kar ki aa mire jaa.e
hañsī ḳhushī kā hai qāl-o-maqāl holī meñ
isī bahār se gokul puure meñ jā pohñche
aur manDī naa.ī kī aur sayyad ḳhaañ kī manDī se
sab ālam-ganj meñ shāh-ganj-o-tāj-ganj phire
haiñ shahar meñ nahīñ aur gird shahar ke rahte
huā hujūm kā bahar kamāl holī meñ
sabhoñ ko le ke kanārī bazār meñ aa.e
phir motī kaTre palThī ke log sab dhaa.e
ki pīpal-manDī-o-pannī galī ke bhī aa.e
jahāñ-tahāñ se ye ghir ghir ke log sab dhaa.e
ki be-navāoñ ke dekheñ jamāl holī meñ
huī jo sab meñ sharīf-o-razīl meñ holī
to pahle rañg key pichkāriyoñ key maar huī
kisī kā bhar gayā jaama kisī kī pagḌī bharī
kisī ke muñh pe lagā.ī gulāl key muTThī
to rafta rafta huī phir ye chaal holī meñ
ghaTā.eñ mashk-o-pakhāloñ kī jhuum kar aa.iiñ
sunahrī bijliyāñ pichkāriyoñ kī chamkā.īñ
sabā ne rañg kī bauchhāreñ aa ke barsā.īñ
havā ne aan ke sāñvan kī jhaḌiyāñ banvā.īñ
lagī barasne ko mashk-o-pakhāl holī meñ
idhar gulāl kā bādal bhī chhā gayā ghanghor
sadā-e-ra.ad huī har kisī kā ġhul aur shor
ye laḌke nāznīñ boleñ haiñ kokalā juuñ mor
tamām rañg kī bauchhār se haiñ shorābor
ajab hai rañg lagī barshgāl holī meñ
lagā ke chauk se aur chār-sū talak dekhā
ki jāgah ek bhī til dharne kī nahīñ hai zarā
tamām bhiiḌ se har taraf band hai rastā
tis uupar rañg kā bādal hai is qadar barsā
ki har galī meñ bahā Dholī-khāl holī meñ
'nazīr' holī to hai har nagar meñ achchhī ḳhuub
va-lek ḳhatm huā āgare pe ye uslūb
kahāñ haiñ aise sanam aur kahāñ haiñ ye mahbūb
jinhoñ ke dekhe se āshiq kā hove taaza qulūb
tirī nirālī hai yaañ chāl-Dhāl holī meñ
juda na hum se ho ai KHush-jamal holi mein
ki yar phirte hain yaron ke tal holi mein
har ek aish se haiga bahaal holi mein
bahaar aur kuchh ab ke hai sal holi mein
maza hai sair hai har su kamal holi mein
sabhon ke aish ko phagun ka ye mahina hai
safed-o-zard mein lekin kamal kina hai
tala ka zard kane sar-basar KHazina hai
safed pas faqat sim ka dafina hai
har ek dil mein hai rustam-o-zal holi mein
kaha safed se aaKHir ko zard ne ye payam
ki ai safed tu ab chhoD de jahan ka maqam
main aaya ab to mera band-o-bast hoga tamam
tu mujh se aan ke mil chhoD apni zid ka kalam
wagarna khinga tu infial holi mein
milega mujh se to main tujh ko phir baDhaunga
bana ke aap sa pas apne le biThaunga
kaha safed ne main mutlaqan na aaunga
tujhi ko baad kai din ke main bhigaunga
tu apna dekhiyo kya hoga haal holi mein
ye sun ke taish mein aa zard ka sipah-salar
chaDh aaya fauj ko le kar safed par yak-bar
udhar safed bhi laDne ko ho ke aaya sawar
saf-e-muqabla donon ki jab huin tayyar
hua karaKHt jawab-o-sawal holi mein
mila idhar se safed aur udhar se zard bahaar
ghaTaen rang-ba-rang faujon ki jhukin sarshaar
pakhaalen mashken chhuTin rang key paDi pauchhaar
aur chaar taraf se pichkariyon key mara mara
uDa zamin se zaman tak gulal holi mein
yahan to donon mein aapas mein ho rahi ye jang
udhar se aaya jo ek shoKH ba-ruKH-e-gul-rang
hazaron naznin mashuq aur us ke sang
nashe mein mast khuli zulf joDe rang-ba-rang
kaha ki puchho to kya hai ye haal holi mein
kaha kisi ne ki ai baadshah-e-mah-ru yan
safed-o-zard ye aapas mein laD rahe hain yahan
ye sun ke aap wo donon ke aa gaya darmiyan
idhar se thanba use aur udhar us ko ki han
tum is qadar na karo iKHtilal holi mein
kaha tumhaari KHusumat ka majra hai kya
kaha safed ne nahaq ye zard hai laDta
ye sun ke us ne wahin apna ek manga joDa
phir apne hath se joDe ko chhiDakwan ranwa
kaha ki donon raho shamil-e-haal holi mein
phir apne tan mein jo pahna wo KHilat-e-rangin
sabhon ko hukm kiya tum bhi pahno ab yun hin
hazaron laDkon ne pahne wo joDne phir wunhin
pukari KHalq ki insaf chahiye yunhin
hua phir aur hi husn-o-jamal holi mein
miyan main kya kahun phir is maze ki Thahri bahaar
jidhar ko aankh uTha kar nazar karo ek bar
hazaron bagh rawan hain karoDon hain gulzar
chaman chaman paDe phirte hain sarw gul ruKHsar
ajab bahaar ke hain naunihaal holi mein
jo nahar husn ki hai mauj mar chalti hai
alam liye hue aage bahaar chalti hai
agaDi mast saf-e-gul-ezar chalti hai
pachhaDi aashiqon ki sab qatar chalti hai
bhul ke dil mein KHushi ka KHayal holi mein
gulal abir se kitne bhare hain chaupae
tamam hathon mein gaDwe bhi rang ke lae
koi kahe hai kisi se ki hum bhi lo aae
to us se kahta wo hans kar ki aa mere jae
hansi KHushi ka hai qal-o-maqal holi mein
isi bahaar se gokul pure mein ja pohnche
aur manDi nai ki aur sayyad KHan ki manDi se
sab aalam-ganj mein shah-ganj-o-taj-ganj phire
hain shahar mein nahin aur gird shahar ke rahte
hua hujum ka bahar kamal holi mein
sabhon ko le ke kanari bazar mein aae
phir moti kaTre palThi ke log sab dhae
ki pipal-manDi-o-panni gali ke bhi aae
jahan-tahan se ye ghir ghir ke log sab dhae
ki be-nawaon ke dekhen jamal holi mein
hui jo sab mein sharif-o-razil mein holi
to pahle rang key pichkariyon key mar hui
kisi ka bhar gaya jama kisi ki pagDi bhari
kisi ke munh pe lagai gulal key muTThi
to rafta rafta hui phir ye chaal holi mein
ghaTaen mashk-o-pakhaalon ki jhum kar aain
sunahri bijliyan pichkariyon ki chamkain
saba ne rang ki bauchhaaren aa ke barsain
hawa ne aan ke sanwan ki jhaDiyan banwain
lagi barasne ko mashk-o-pakhaal holi mein
idhar gulal ka baadal bhi chha gaya ghanghor
sada-e-rad hui har kisi ka ghul aur shor
ye laDke naznin bolen hain kokala jun mor
tamam rang ki bauchhaar se hain shorabor
ajab hai rang lagi barshgal holi mein
laga ke chauk se aur chaar-su talak dekha
ki jagah ek bhi til dharne ki nahin hai zara
tamam bhiD se har taraf band hai rasta
tis upar rang ka baadal hai is qadar barsa
ki har gali mein baha Dholi-khaal holi mein
'nazir' holi to hai har nagar mein achchhi KHub
wa-lek KHatm hua aagare pe ye uslub
kahan hain aise sanam aur kahan hain ye mahbub
jinhon ke dekhe se aashiq ka howe taza qulub
teri nirali hai yan chaal-Dhaal holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.