Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

holi ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

holi ki bahaaren

Nazeer Akbarabadi

jab phāgun rañg jhamakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

aur daf ke shor khaḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

pariyoñ ke rañg damakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

ḳhum, shīshe, jaam, jhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

mahbūb nashe meñ chakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

ho naach rañgīlī pariyoñ baiThe hoñ gul-rū rañg-bhare

kuchh bhīgī tāneñ holī kuchh nāz-o-adā ke Dhañg-bhare

dil bhūle dekh bahāroñ ko aur kānoñ meñ āhañg bhare

kuchh table khaḌkeñ rañg-bhare kuchh aish ke dam muñh-chañg bhare

kuchh ghuñghrū taal chhanakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

sāmān jahāñ tak hotā hai us ishrat ke matlūboñ

vo sab sāmān muhayyā ho aur baaġh khilā ho ḳhvāboñ

har aan sharābeñ Dhaltī hoñ aur ThaTh ho rañg ke Dūboñ

is aish maze ke aalam meñ ek ġhol khaḌā mahbūboñ

kapḌoñ par rañg chhiḌakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

gulzār khile hoñ pariyoñ ke aur majlis tayyārī ho

kapḌoñ par rañg ke chhīñToñ se ḳhush-rañg ajab gul-kārī ho

muñh laal, gulābī āñkheñ hoñ, aur hāthoñ meñ pichkārī ho

us rañg-bharī pichkārī ko añgiyā par tak kar maarī ho

sīnoñ se rañg Dhalakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

us rañg-rañgīlī majlis meñ vo ranDī nāchne vaalī ho

muñh jis chāñd TukḌā ho aur aañkh bhī mai ke pyālī ho

bad-mast baḌī matvālī ho har aan bajātī taalī ho

mai-noshī ho behoshī ho ''bhaḌve'' muñh meñ gaalī ho

bhaḌve bhii, bhaḌvā bakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

aur ek taraf dil lene ko mahbūb bhavayyoñ ke laḌke

har aan ghaḌī gat bharte hoñ kuchh ghaT ghaT ke kuchh baḌh baḌh ke

kuchh naaz jatāveñ laḌ laḌ ke kuchh holī gāveñ aḌ aḌ ke

kuchh lachke shoḳh kamar patlī kuchh haath chale kuchh tan bhaḌke

kuchh kāfir nain maTakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

ye dhuum machī ho holī aur aish maze jhakkaḌ ho

us khīñchā-khīñch ghasīTī par bhaḌve ranDī phakkaḌ ho

mājūn, sharābeñ, nāch, maza, aur Tikiyā sufā kakkaḌ ho

laḌ-bhiḌ ke 'nazīr' bhī niklā ho kīchaḌ meñ laththaḌ-paththaḌ ho

jab aise aish mahakte hoñ tab dekh bahāreñ holī

jab phagun rang jhamakte hon tab dekh bahaaren holi ki

aur daf ke shor khaDakte hon tab dekh bahaaren holi ki

pariyon ke rang damakte hon tab dekh bahaaren holi ki

KHum, shishe, jam, jhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki

mahbub nashe mein chakte hon tab dekh bahaaren holi ki

ho nach rangili pariyon ka baiThe hon gul-ru rang-bhare

kuchh bhigi tanen holi ki kuchh naz-o-ada ke Dhang-bhare

dil bhule dekh bahaaron ko aur kanon mein aahang bhare

kuchh table khaDken rang-bhare kuchh aish ke dam munh-chang bhare

kuchh ghunghru tal chhanakte hon tab dekh bahaaren holi ki

saman jahan tak hota hai us ishrat ke matlubon ka

wo sab saman muhayya ho aur bagh khila ho KHwabon ka

har aan sharaben Dhalti hon aur ThaTh ho rang ke Dubon ka

is aish maze ke aalam mein ek ghol khaDa mahbubon ka

kapDon par rang chhiDakte hon tab dekh bahaaren holi ki

gulzar khile hon pariyon ke aur majlis ki tayyari ho

kapDon par rang ke chhinTon se KHush-rang ajab gul-kari ho

munh lal, gulabi aankhen hon, aur hathon mein pichkari ho

us rang-bhari pichkari ko angiya par tak kar mari ho

sinon se rang Dhalakte hon tab dekh bahaaren holi ki

us rang-rangili majlis mein wo ranDi nachne wali ho

munh jis ka chand ka TukDa ho aur aankh bhi mai ke pyali ho

bad-mast baDi matwali ho har aan bajati tali ho

mai-noshi ho behoshi ho bhaDwe ki munh mein gali ho

bhaDwe bhi, bhaDwa bakte hon tab dekh bahaaren holi ki

aur ek taraf dil lene ko mahbub bhawayyon ke laDke

har aan ghaDi gat bharte hon kuchh ghaT ghaT ke kuchh baDh baDh ke

kuchh naz jatawen laD laD ke kuchh holi gawen aD aD ke

kuchh lachke shoKH kamar patli kuchh hath chale kuchh tan bhaDke

kuchh kafir nain maTakte hon tab dekh bahaaren holi ki

ye dhum machi ho holi ki aur aish maze ka jhakkaD ho

us khincha-khinch ghasiTi par bhaDwe ranDi ka phakkaD ho

majun, sharaben, nach, maza, aur Tikiya sufa kakkaD ho

laD-bhiD ke 'nazir' bhi nikla ho kichaD mein laththaD-paththaD ho

jab aise aish mahakte hon tab dekh bahaaren holi ki

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Chaya Ganguly

Chaya Ganguly

Source :
  • Book : intekhab naziir akbaraabaadii (Pg. 39)

Tagged Under

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now