holi
milne kā tire rakhte haiñ ham dhyān idhar dekh
bhātī hai bahut ham ko tirī aan idhar dekh
ham chāhne vaale haiñ tire jaan idhar dekh
holī hai sanam hans ke tū ik aan idhar dekh
ai rañg-bhare nau-gul-e-ḳhandāñ idhar dekh
ham dekhne terā ye jamāl is ghaḌī ai jaañ
aa.e haiñ yahī karke ḳhayāl is ghaḌī ai jaañ
tū dil meñ na rakh ham se malāl is ghaḌī ai jaañ
mukhḌe pe tire dekh gulāl is ghaḌī ai jaañ
holī bhī yahī kahtī hai ai jaan idhar dekh
ab zard ye cherā jo tire sar pe jamā hai
aur is pe ye turra jo zarī kā bhī dharā hai
niimā bhī tirā rañg se kesar ke bharā hai
poshāk pe terī gul-e-sad-barg fidā hai
nargis tirī āñkhoñ pe hai qurbān idhar dekh
holī kī tarab hai jo har ik jā meñ numūdār
sunte haiñ kahīñ raag kahīñ mai se haiñ sarshār
hai dil meñ hameñ to tirī nazroñ se sarokār
pichkārī hamāre tū lagā yā na lagā yaar
ham ko to faqat hai yahī armān idhar dekh
hai dhuum se holī kī kahīñ shor kahīñ ġhul
hotā nahīñ kuchh rañg chhiḌakne meñ ta.ammul
daf bajte haiñ sab hañste haiñ aur dhuum hai bilkul
holī kī ḳhushī meñ to na kar ham se taġhāful
ai jaan hamārā bhī kahā maan idhar dekh
hai diid kī har aan talab dil ko hamāre
jiite haiñ faqat terī nigāhoñ ke sahāre
haiñ yaañ jo khaḌe aan ke is shauq ke maare
ham ek nigah ke tire mushtāq haiñ pyāre
Tuk pyaar kī nazroñ se mirī jaan idhar dekh
har chaar taraf holī kī dhūmeñ haiñ ahā hā
dekho jidhar aatā hai nazar roz tamāshā
har aan jhamaktā hai ajab aish kā charchā
holī ko 'nazīr' ab tū khaḌā dekhe hai yaañ kyā
mahbūb ye aayā are nādān idhar dekh
milne ka tere rakhte hain hum dhyan idhar dekh
bhati hai bahut hum ko teri aan idhar dekh
hum chahne wale hain tere jaan idhar dekh
holi hai sanam hans ke tu ek aan idhar dekh
ai rang-bhare nau-gul-e-KHandan idhar dekh
hum dekhne tera ye jamal is ghaDi ai jaan
aae hain yahi karke KHayal is ghaDi ai jaan
tu dil mein na rakh hum se malal is ghaDi ai jaan
mukhDe pe tere dekh gulal is ghaDi ai jaan
holi bhi yahi kahti hai ai jaan idhar dekh
ab zard ye chera jo tere sar pe jama hai
aur is pe ye turra jo zari ka bhi dhara hai
nima bhi tera rang se kesar ke bhara hai
poshak pe teri gul-e-sad-barg fida hai
nargis teri aankhon pe hai qurban idhar dekh
holi ki tarab hai jo har ek ja mein numudar
sunte hain kahin rag kahin mai se hain sarshaar
hai dil mein hamein to teri nazron se sarokar
pichkari hamare tu laga ya na laga yar
hum ko to faqat hai yahi arman idhar dekh
hai dhum se holi ki kahin shor kahin ghul
hota nahin kuchh rang chhiDakne mein tammul
daf bajte hain sab hanste hain aur dhum hai bilkul
holi ki KHushi mein to na kar hum se taghaful
ai jaan hamara bhi kaha man idhar dekh
hai did ki har aan talab dil ko hamare
jite hain faqat teri nigahon ke sahaare
hain yan jo khaDe aan ke is shauq ke mare
hum ek nigah ke tere mushtaq hain pyare
Tuk pyar ki nazron se meri jaan idhar dekh
har chaar taraf holi ki dhumen hain aha ha
dekho jidhar aata hai nazar roz tamasha
har aan jhamakta hai ajab aish ka charcha
holi ko 'nazir' ab tu khaDa dekhe hai yan kya
mahbub ye aaya are nadan idhar dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.