holi
muḳhtalif rang bikharte haiñ tire āñgan meñ
tere āñgan meñ mahakte haiñ mohabbat ke gulāb
vaqt ke paikar-e-pīrī kā ta.assur ye hai
hai dhanak-rang tirā aaj bhī mas.hūr-e-shabāb
rū-e-sad-rang uḳhuvvat kī sabāhat le kar
be-ġharaz aaya ta.assub ke siyah-ḳhānoñ meñ
raqs kartā hai ḳhushī ban ke har ik samt gulāl
bāda-e-lutf bharī hai tire paimānoñ meñ
holikā jaltī hai jab shahr ke chaurāhoñ par
miT ga.ī jaise burā.ī ye gumāñ hotā hai
ek ik fard ko hotā hai ḳhushī kā ehsās
āḳhir-e-shab jo nigāhoñ meñ dhuāñ hotā hai
ai ki rangīn milan tū hai mohabbat kā payām
muttahid hone kī ik shoḳh alāmat tū hai
yuuñ ba-zāhir to hai ik aam sā tyauhār magar
rūh-e-bhārat ke liye naġhma-e-rāhat tū hai
muKHtalif rang bikharte hain tere aangan mein
tere aangan mein mahakte hain mohabbat ke gulab
waqt ke paikar-e-piri ka tassur ye hai
hai dhanak-rang tera aaj bhi mashur-e-shabab
ru-e-sad-rang uKHuwwat ki sabahat le kar
be-gharaz aaya tassub ke siyah-KHanon mein
raqs karta hai KHushi ban ke har ek samt gulal
baada-e-lutf bhari hai tere paimanon mein
holika jalti hai jab shahr ke chaurahon par
miT gai jaise burai ye guman hota hai
ek ek fard ko hota hai KHushi ka ehsas
aaKHir-e-shab jo nigahon mein dhuan hota hai
ai ki rangin milan tu hai mohabbat ka payam
muttahid hone ki ek shoKH alamat tu hai
yun ba-zahir to hai ek aam sa tyauhaar magar
ruh-e-bhaarat ke liye naghma-e-rahat tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.