holi
pahle zamāna aur thā mai aur thī daur aur thā
vo boliyāñ hī aur thiiñ vo Toliyāñ hī aur thīñ, vo holiyāñ hī aur thiiñ
lekin mire pīr-e-muġhāñ
kal to nayā andāz thā
ik daur kā thā ḳhātma ik daur kā āġhāz thā
tere vafādāroñ ne jab khelīñ gulābī holiyāñ
nikle banā kar Toliyāñ
hañste chale gaate chale
apne gulābī rañg se duniyā ko nahlāte chale
masjid se muñh moḌe hue
mandir kā sañg-e-āstāñ chhoḌe hue
girjā se katrā.e hue
jaise ki hoñ rūhāniyat kī zindagānī hī se ghabrā.e hue
daur-e-vafādārī kā ye anjām thā
fikr-e-gunahgārī kā taaza dil-rubā paiġhām thā
tere hī kūche meñ ye sab ahd-e-vafā toḌe ga.e
rishte na.e joḌe ga.e
aur phir gunahgāroñ ne kyā rindāna hañgāme kiye
us vaqt un ko yaad thā bas ek tarsānā tirā
muflisoñ nādāroñ ko lalchānā tirā
jab mai-kade kī god meñ
tere jafā terī sazā ke naam par sāġhar chale
sūkhe hue kaase labālab bhar chale
sab apne lab tar kar chale
phir toḌ diiñ vo pyāliyāñ jin meñ sadā pī aa.e the
shīshe chhanā chhan chhan chhanā chhan TūTte
aur riñd lazzat lūTte
TuuTe hue shīshoñ kā ik ambār thā
shīshoñ ke is ambār meñ ik vo bhī kohna jaam thā
jis ko sikandar ke qavī haikal javāñ
bhāge the poras kī zamīñ ko chhoḌ kar
un meñ vo kaase bhī to haiñ jin ko arab le aa.e the
apnī abā se Dhāñp kar
piine se pahle dekhte the mohtasib ko jhāñk kar
lekin kabhī
piine se baaz aate na the fāteh jo the
un meñ haiñ aise jaam bhī
jin par paThānoñ ke qavī hāthoñ ke dhuñdle se nishāñ
kuchh aaj bhī maujūd haiñ
aur un nishānoñ meñ hai ḳhuuñ maftūh hindustān kā
aur un meñ haiñ vo jaam bhī jin ko muġhal le aa.e the
tātār se qandhār se kābul se ruknā-bād se
maftūh hindustān meñ
jin ko vo apne qasr-e-ālīshāñ meñ chhalkāte rahe
teġhoñ se khankāte rahe
aur vo hasīñ nāzuk subuk halkī surāhī kis kī hai
paris ke mai-ḳhānoñ meñ ye mash.hūr thī
laayā thā ik tājir ise jo ba.ad meñ fāteh banā
ye halke shīshoñ ke gilās aur ye na.e halke se paig
jin par likhā hai ye bane the mulk-e-inglistān meñ
aur haal kī sadiyoñ meñ chalte rahe
piine ko mil jaatī thī pī lete the ham
lekin tahī-dastī kā ye aalam thā dil jalte rahe
ham aaj ghabrā hī ga.e
aur un sabhī shīshoñ ko chaknāchūr kar Daalā vufūr-e-josh meñ
chhan chhan chhanā chhan toḌ kar
jaise ki barbādī kī devī chham-chhamā-chham nāchtī
holī manāne ke liye mai-ḳhāne meñ aa hī ga.e
TuuTe hue shīshoñ ke is ambār par
ham ne jalā.ī aag yuuñ
zardusht kā pākīza dil sachchā.iyoñ par hañs diyā
jaise ki ye kahne lagā
jalne do jalne do yūñhī shīshe pighalne do yūñhī
tere vafādāroñ ne yuuñ pīr-e-muġhāñ
shab bhar jalā.īñ holiyāñ
na.are vo mastāne lage is josh meñ
dil gir paḌe ehsās kī āġhosh meñ
aur bol uThe taslīm ai pīr-e-muġhāñ jaate haiñ ham
kal phir palaT kar ā.eñge
us vaqt is mai-ḳhāne meñ sāmān hoñge dūsre
tere purāne zehn ke me.aar toḌe jā.eñge
tāmīr-e-nau kī jā.egī
lekin hamāre sāl-ḳhūrda mehrbāñ pīr-e-muġhāñ
tujh ko burā lagtā hai kyuuñ
ġhairoñ kā kyā terā bhī kyā
ye mai-kada ham sab kā hai panchāytī
tū kyā hai terā ḳhauf kyā
kah to diyā pīr-e-muġhāñ kal palaT kar ā.eñge
hargiz na ham baaz ā.eñge
kis ko Darātā hai ki tum is kī sazā pā jāoge
gaate the ham gaate haiñ ham gā.eñge ham
hargiz na baaz ā.eñge ham
jheleñge jiite jā.eñge
pairoñ meñ hai zanjīr lekin TuuT bhī saktī hai ye
haañ aaj hastī qaid hai kal chhūT bhī saktī hai ye
gaane de gaane de hameñ
dhūmeñ machāne de hameñ
shīshe ko shīshe se laḌāne de hameñ
chhan-chhan-chhanā-chhan kī sadā
baḌhne de baḌhne de abhī
ham mast o be-ḳhud nāchte gaate jalāte toḌte
hañste raheñ chalte raheñ
aur tū bhī ḳhud pīr-e-muġhāñ
holī ke naġhme san zarā aur dekh apnī aañkh se
tere vafādāroñ ne kyā khelīñ gulābī holiyāñ
muñh mai-kade se moḌ kar holī kī ye Tolī chalī
gulzār meñ
sabze lachaktī Dāliyāñ gunjān, sundar jhāḌiyāñ
paanī kī sīñchī kiyāriyāñ, kāñToñ meñ chubhtī pattiyāñ
ye sab sahī lekin yahāñ vo shai kahāñ
jis ke liye mash.hūr hai añgūr-e-nāb
haañ kyā kahā pīr-e-muġhāñ
talvoñ ke nīche phuul haiñ in meñ se do ik chun bhī luuñ
ḳhālī haiñ gul-daste tire
tujh ko nahīñ ma.alūm abhī
ḳhālī ye gul-daste tire ḳhālī hī rah jā.eñge ab
phūloñ ne Thānī hai ki shāḳhoñ hī pe mar jā.eñge ab
aur tere kamroñ meñ vo na ā.eñge ab
muñh-band kaliyāñ ab kahāñ
jo apnī sundar mohnī muskān kar deñ rā.egāñ
aur apnā gulshan chhoḌ deñ siine meñ ḳhushbueñ liye
aur ajnabī māhaul meñ
tāq-e-nazar kī kāñptī zīnat baneñ
kaliyoñ ke muñh ab khul chuke muñh-band kaliyāñ ab kahāñ
kaliyāñ kahāñ ye phuul haiñ
ḳhāk-e-chaman kī god meñ ārām-e-jāñ ye phuul haiñ
ātish-zabāñ ye phuul haiñ
aur dekh tū ye phuul kitne shoḳh haiñ
jo TuuT kar shāḳhoñ se gir jaate haiñ terī raah meñ
ai dil-kash pīr-e-muġhāñ
ye chāhte haiñ rok deñ gulzār meñ rāheñ tirī
tere liye chāra hī kiyā ab rah gayā
in be-hayā phūloñ kī āñkhoñ kā to paanī bah gayā
ab haiñ ye un kī jur.ateñ rokeñgi tere rāste
tū bhī ḳhudā ke vāste
in ko kuchal de piis de
varna ḳhudā-na-ḳhvāsta
ye rok hī leñ rāsta
kaliyāñ nahīñ kāñTe haiñ ye
kāñToñ se bhī bad-tar haiñ ye nashtar haiñ ye ḳhanjar haiñ ye
gulzār meñ tere qadam kuchh aaj to aa.e nahīñ
tū ne unhīñ sabzoñ pe kī hai mai-kashī
sadiyoñ se terā daur hai
gulzār par hai haq tirā
tū Dar gayā pīr-e-muġhāñ
kitnā bhayānak ḳhvāb thā
ta.abīr kuchh bhī ho magar
tere vafādāroñ ne kal
kis aan se kis baan se kis shaan se
khelīñ gulābī holiyāñ
pahle zamana aur tha mai aur thi daur aur tha
wo boliyan hi aur thin wo Toliyan hi aur thin, wo holiyan hi aur thin
lekin mere pir-e-mughan
kal to naya andaz tha
ek daur ka tha KHatma ek daur ka aaghaz tha
tere wafadaron ne jab khelin gulabi holiyan
nikle bana kar Toliyan
hanste chale gate chale
apne gulabi rang se duniya ko nahlate chale
masjid se munh moDe hue
mandir ka sang-e-astan chhoDe hue
girja se katrae hue
jaise ki hon ruhaniyat ki zindagani hi se ghabrae hue
daur-e-wafadari ka ye anjam tha
fikr-e-gunahgari ka taza dil-ruba paigham tha
tere hi kuche mein ye sab ahd-e-wafa toDe gae
rishte nae joDe gae
aur phir gunahgaron ne kya rindana hangame kiye
us waqt un ko yaad tha bas ek tarsana tera
muflison nadaron ko lalchana tera
jab mai-kade ki god mein
tere jafa teri saza ke nam par saghar chale
sukhe hue kase labaalab bhar chale
sab apne lab tar kar chale
phir toD din wo pyaliyan jin mein sada pi aae the
shishe chhana chhan chhan chhana chhan TuTte
aur rind lazzat luTte
TuTe hue shishon ka ek ambar tha
shishon ke is ambar mein ek wo bhi kohna jam tha
jis ko sikandar ke qawi haikal jawan
bhage the poras ki zamin ko chhoD kar
un mein wo kase bhi to hain jin ko arab le aae the
apni aba se Dhanp kar
pine se pahle dekhte the mohtasib ko jhank kar
lekin kabhi
pine se baz aate na the fateh jo the
un mein hain aise jam bhi
jin par paThanon ke qawi hathon ke dhundle se nishan
kuchh aaj bhi maujud hain
aur un nishanon mein hai KHun maftuh hindustan ka
aur un mein hain wo jam bhi jin ko mughal le aae the
tatar se qandhaar se kabul se rukna-baad se
maftuh hindustan mein
jin ko wo apne qasr-e-alishan mein chhalkate rahe
teghon se khankate rahe
aur wo hasin nazuk subuk halki surahi kis ki hai
paris ke mai-KHanon mein ye mashhur thi
laya tha ek tajir ise jo baad mein fateh bana
ye halke shishon ke gilas aur ye nae halke se paig
jin par likha hai ye bane the mulk-e-inglistan mein
aur haal ki sadiyon mein chalte rahe
pine ko mil jati thi pi lete the hum
lekin tahi-dasti ka ye aalam tha dil jalte rahe
hum aaj ghabra hi gae
aur un sabhi shishon ko chaknachur kar Dala wufur-e-josh mein
chhan chhan chhana chhan toD kar
jaise ki barbaadi ki dewi chham-chhama-chham nachti
holi manane ke liye mai-KHane mein aa hi gae
TuTe hue shishon ke is ambar par
hum ne jalai aag yun
zardusht ka pakiza dil sachchaiyon par hans diya
jaise ki ye kahne laga
jalne do jalne do yunhi shishe pighalne do yunhi
tere wafadaron ne yun pir-e-mughan
shab bhar jalain holiyan
nare wo mastane lage is josh mein
dil gir paDe ehsas ki aaghosh mein
aur bol uThe taslim ai pir-e-mughan jate hain hum
kal phir palaT kar aaenge
us waqt is mai-KHane mein saman honge dusre
tere purane zehn ke mear toDe jaenge
tamir-e-nau ki jaegi
lekin hamare sal-KHurda mehrban pir-e-mughan
tujh ko bura lagta hai kyun
ghairon ka kya tera bhi kya
ye mai-kada hum sab ka hai panchayti
tu kya hai tera KHauf kya
kah to diya pir-e-mughan kal palaT kar aaenge
hargiz na hum baz aaenge
kis ko Daraata hai ki tum is ki saza pa jaoge
gate the hum gate hain hum gaenge hum
hargiz na baz aaenge hum
jhelenge jite jaenge
pairon mein hai zanjir lekin TuT bhi sakti hai ye
han aaj hasti qaid hai kal chhuT bhi sakti hai ye
gane de gane de hamein
dhumen machane de hamein
shishe ko shishe se laDane de hamein
chhan-chhan-chhana-chhan ki sada
baDhne de baDhne de abhi
hum mast o be-KHud nachte gate jalate toDte
hanste rahen chalte rahen
aur tu bhi KHud pir-e-mughan
holi ke naghme san zara aur dekh apni aankh se
tere wafadaron ne kya khelin gulabi holiyan
munh mai-kade se moD kar holi ki ye Toli chali
gulzar mein
sabze lachakti Daliyan gunjaan, sundar jhaDiyan
pani ki sinchi kiyariyan, kanTon mein chubhti pattiyan
ye sab sahi lekin yahan wo shai kahan
jis ke liye mashhur hai angur-e-nab
han kya kaha pir-e-mughan
talwon ke niche phul hain in mein se do ek chun bhi lun
KHali hain gul-daste tere
tujh ko nahin malum abhi
KHali ye gul-daste tere KHali hi rah jaenge ab
phulon ne Thani hai ki shaKHon hi pe mar jaenge ab
aur tere kamron mein wo na aaenge ab
munh-band kaliyan ab kahan
jo apni sundar mohni muskan kar den raegan
aur apna gulshan chhoD den sine mein KHushbuen liye
aur ajnabi mahaul mein
taq-e-nazar ki kanpti zinat banen
kaliyon ke munh ab khul chuke munh-band kaliyan ab kahan
kaliyan kahan ye phul hain
KHak-e-chaman ki god mein aaram-e-jaan ye phul hain
aatish-zaban ye phul hain
aur dekh tu ye phul kitne shoKH hain
jo TuT kar shaKHon se gir jate hain teri rah mein
ai dil-kash pir-e-mughan
ye chahte hain rok den gulzar mein rahen teri
tere liye chaara hi kiya ab rah gaya
in be-haya phulon ki aankhon ka to pani bah gaya
ab hain ye un ki juraten rokengi tere raste
tu bhi KHuda ke waste
in ko kuchal de pis de
warna KHuda-na-KHwasta
ye rok hi len rasta
kaliyan nahin kanTe hain ye
kanTon se bhi bad-tar hain ye nashtar hain ye KHanjar hain ye
gulzar mein tere qadam kuchh aaj to aae nahin
tu ne unhin sabzon pe ki hai mai-kashi
sadiyon se tera daur hai
gulzar par hai haq tera
tu Dar gaya pir-e-mughan
kitna bhayanak KHwab tha
tabir kuchh bhi ho magar
tere wafadaron ne kal
kis aan se kis ban se kis shan se
khelin gulabi holiyan
- Book : azadi ke bad urdu nazm (Pg. 259)
- Author : shamim hanfi and mazhar mahdi
- Publication : qaumi council bara-e-farogh urdu (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.