holi
phir aan ke ishrat kā machā Dhañg zamīñ par
aur aish ne arsa hai kiyā tañg zamīñ par
har dil ko ḳhushī kā huā āhañg zamīñ par
hotā hai kahīñ raag kahīñ rañg zamīñ par
bajte haiñ kahīñ taal kahīñ zañg zamīñ par
holī ne machāyā hai ajab rañg zamīñ par
ghuñgrū kī paḌī aan ke phir kaan meñ jhankār
sārañgī huī biin tambūroñ kī madad-gār
tabloñ ke Thuke tabl ye sāzoñ ke baje taar
rāgoñ ke kahīñ ġhul kahīñ nāchoñ ke bañdhe taar
Dholak kahīñ jhankāre hai mirdañg zamīñ par
holī ne machāyā hai ajab rañg zamīñ par
mastī meñ uThā aañkh jidhar dekho ahāhā
nāche hai tavā.if kahīñ maTke hai bhavayya
chalte haiñ kahīñ jaam kahīñ svāñg kā charchā
o rañg ko galiyoñ meñ jo dekho to har ik jā
bahtī haiñ umañD kar jaman-o-gañg zamīñ par
holī ne machāyā hai ajab rañg zamīñ par
bhāge hai kahīñ rañg kisī par jo koī Daal
vo poTlī maare hai use dauḌ ke filhāl
ye Taañg ghasīTe hai to vo khīñche pakaḌ baal
vo haath maroḌe to ye toḌe hai khaḌā gaal
is Dhab ke har ik jā pe mache Dhañg zamīñ par
holī ne machāyā hai ajab rañg zamīñ par
baiThe haiñ sab aapas meñ nahīñ ek bhī kaḌvā
pichkārī uThā kar koī jhamkāve hai khaḌvā
bharte haiñ kahīñ mushk kahīñ rañg kā gaḌvā
kyā shaad vo hotā hai jise kahte haiñ bhaḌvā
sunñe meñ yahāñ tak nahīñ ab nañg zamīñ par
holī ne machāyā hai ajab rañg zamīñ par
holī kī 'nazīr' ab jo bahāreñ haiñ ahāhā
mahbūb rañgīloñ kī qatāreñ haiñ ahāhā
kapḌoñ pe jamī rañg kī dhāreñ haiñ ahāhā
sab holī hai holī hī pukāre haiñ ahāhā
kyā aish hai kyā rañg hai kyā Dhañg zamīñ par
holī ne machāyā hai ajab rañg zamīñ par
phir aan ke ishrat ka macha Dhang zamin par
aur aish ne arsa hai kiya tang zamin par
har dil ko KHushi ka hua aahang zamin par
hota hai kahin rag kahin rang zamin par
bajte hain kahin tal kahin zang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
ghungru ki paDi aan ke phir kan mein jhankar
sarangi hui bin tamburon ki madad-gar
tablon ke Thuke tabl ye sazon ke baje tar
ragon ke kahin ghul kahin nachon ke bandhe tar
Dholak kahin jhankare hai mirdang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
masti mein uTha aankh jidhar dekho ahaha
nache hai tawaif kahin maTke hai bhawayya
chalte hain kahin jam kahin swang ka charcha
o rang ko galiyon mein jo dekho to har ek ja
bahti hain umanD kar jaman-o-gang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
bhage hai kahin rang kisi par jo koi Dal
wo poTli mare hai use dauD ke filhaal
ye Tang ghasiTe hai to wo khinche pakaD baal
wo hath maroDe to ye toDe hai khaDa gal
is Dhab ke har ek ja pe mache Dhang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
baiThe hain sab aapas mein nahin ek bhi kaDwa
pichkari uTha kar koi jhamkawe hai khaDwa
bharte hain kahin mushk kahin rang ka gaDwa
kya shad wo hota hai jise kahte hain bhaDwa
sunne mein yahan tak nahin ab nang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
holi ki 'nazir' ab jo bahaaren hain ahaha
mahbub rangilon ki qataren hain ahaha
kapDon pe jami rang ki dhaaren hain ahaha
sab holi hai holi hi pukare hain ahaha
kya aish hai kya rang hai kya Dhang zamin par
holi ne machaya hai ajab rang zamin par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.