holi
qātil jo merā oḌhe ik surḳh shaal aayā
khā khā ke paan zālim kar hoñTh laal aayā
goyā nikal shafaq se badar-e-kamāl aayā
jab muñh se vo parī-rū mal kar gulāl aayā
ik dam to dekh us ko holī ko haal aayā
aish-o-tarab kā sāmān hai aaj sab ghar us ke
ab to nahīñ hai koī duniyā meñ ham-sar us ke
az-māh-tāb-e-māhī bande haiñ be-zar us ke
kal vaqt-e-shām sūraj malne ko muñh par us ke
rakh kar shafaq ke sar par tasht-e-gulāl aayā
ḳhālis kahīñ se taazī ik za.afrān mañgā kar
mushk-o-gulāb meñ bhī mal kar use basā kar
shīshe meñ bhar ke niklā chupke lagā chhupā kar
muddat se aarzū thī ik dam lagā chukā kar
ik din sanam pe jā kar maiñ rañg Daal aayā
arbāb-e-bazm bhar to vo shaah apne le kar
sab ham-nashīn hasb-e-dil-ḳhvāh apne le kar
chālāk chust kāfir gumrāh apne le kar
das biis gul-ruḳhoñ ko hamrāh apne le kar
yuuñ hiiñ bhigone mujh ko vo ḳhush-jamāl aayā
ishrat kā us ghaḌī thā asbāb sab muhayyā
bahtā thā husn kā bhī us jā pe ek dariyā
hāthoñ meñ dilbaroñ ke sāġhar kisī ke shīsha
kamroñ meñ jholiyoñ meñ seroñ gulāl bāñdhā
aur rañg kī bhī bhar kar mashk-o-pakhāl aayā
aiyyārgī se pahle apne ta.iiñ chhupā kar
chāhā ki maiñ bhī niklūñ un meñ se chhuT-chhuTā kar
dauḌe ka.ī ye kah kar jaatā hai dam churā kar
itne meñ gher mujh ko aur shor-o-ġhul machā kar
us dam kamar kamar tak rañg-o-gulāl aayā
ye chahal to kuchh apnī qismat se mach rahī thī
ye aabrū kī parda hurmat se bach rahī thī
kaisā samāñ thā kaisī shādī sī rach rahī thī
us vaqt mere sar par ik dhuum mach rahī thī
ik dhuum meñ bhī mujh ko jo kuchh ḳhayāl aayā
lāzim na thī ye harakat ai ḳhush-safīr tujh ko
azhar hai sab kahe haiñ mil kar sharīr tujh ko
karte haiñ ab malāmat ḳhurd-o-kabīr tujh ko
lā-haul paḌh ke shaitān bolā 'nazīr' tujh ko
ab holī khelne kā puurā kamāl aayā
qatil jo mera oDhe ek surKH shaal aaya
kha kha ke pan zalim kar honTh lal aaya
goya nikal shafaq se badar-e-kamal aaya
jab munh se wo pari-ru mal kar gulal aaya
ek dam to dekh us ko holi ko haal aaya
aish-o-tarab ka saman hai aaj sab ghar us ke
ab to nahin hai koi duniya mein ham-sar us ke
az-mah-tab-e-mahi bande hain be-zar us ke
kal waqt-e-sham suraj malne ko munh par us ke
rakh kar shafaq ke sar par tasht-e-gulal aaya
KHalis kahin se tazi ek zafran manga kar
mushk-o-gulab mein bhi mal kar use basa kar
shishe mein bhar ke nikla chupke laga chhupa kar
muddat se aarzu thi ek dam laga chuka kar
ek din sanam pe ja kar main rang Dal aaya
arbab-e-bazm bhar to wo shah apne le kar
sab ham-nashin hasb-e-dil-KHwah apne le kar
chaalak chust kafir gumrah apne le kar
das bis gul-ruKHon ko hamrah apne le kar
yun hin bhigone mujh ko wo KHush-jamal aaya
ishrat ka us ghaDi tha asbab sab muhayya
bahta tha husn ka bhi us ja pe ek dariya
hathon mein dilbaron ke saghar kisi ke shisha
kamron mein jholiyon mein seron gulal bandha
aur rang ki bhi bhar kar mashk-o-pakhaal aaya
aiyyargi se pahle apne tain chhupa kar
chaha ki main bhi niklun un mein se chhuT-chhuTa kar
dauDe kai ye kah kar jata hai dam chura kar
itne mein gher mujh ko aur shor-o-ghul macha kar
us dam kamar kamar tak rang-o-gulal aaya
ye chahal to kuchh apni qismat se mach rahi thi
ye aabru ki parda hurmat se bach rahi thi
kaisa saman tha kaisi shadi si rach rahi thi
us waqt mere sar par ek dhum mach rahi thi
ek dhum mein bhi mujh ko jo kuchh KHayal aaya
lazim na thi ye harakat ai KHush-safir tujh ko
azhar hai sab kahe hain mil kar sharir tujh ko
karte hain ab malamat KHurd-o-kabir tujh ko
la-haul paDh ke shaitan bola 'nazir' tujh ko
ab holi khelne ka pura kamal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.