sehr-e-mausīqī huā phir guuñj uThe gokul ke ban
raqs farmāne lagī phir vādī-e-gañg-o-jaman
phir shabāb-e-mast niklā mal ke chehre par gulāl
phir nikhar aayā bahār-e-lāla se husn-e-chaman
phir havā-e-tund le kar aa.ī holī kī bahār
haath meñ pichkāriyāñ le kar chale phir mard-o-zan
phir junūn-e-zindagī ko mil gayā nām-e-surūr
phir nazar aane lagā har sādgī meñ bāñkpan
Dholakeñ baaje majīre aur khaḌtā.leñ bajīñ
phir fazā.eñ ho ga.iiñ bansī kī lai se naġhma-zan
rañg meñ Duubī huī haiñ gopiyāñ sar-tā-qadam
uude uude piile piile niile niile pairahan
sehr-e-mausiqi hua phir gunj uThe gokul ke ban
raqs farmane lagi phir wadi-e-gang-o-jaman
phir shabab-e-mast nikla mal ke chehre par gulal
phir nikhar aaya bahaar-e-lala se husn-e-chaman
phir hawa-e-tund le kar aai holi ki bahaar
hath mein pichkariyan le kar chale phir mard-o-zan
phir junun-e-zindagi ko mil gaya nam-e-surur
phir nazar aane laga har sadgi mein bankpan
Dholaken baje majire aur khaDtalen bajin
phir fazaen ho gain bansi ki lai se naghma-zan
rang mein Dubi hui hain gopiyan sar-ta-qadam
ude ude pile pile nile nile pairahan
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 293)
- Author : Arsh Malsiyani
- Publication : Ali Imran Chaudhary
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.