holi
vafā ke phuul khilāo bahār-e-holī hai
nazar nazar se milāo bahār-e-holī hai
hañso to sab ko hañsāo bahār-e-holī hai
diloñ kī pyaas bujhāo bahār-e-holī hai
nazar se dil meñ samāo bahār-e-holī hai
gale se sab ko lagāo bahār-e-holī hai
vafā kā rang jamāo bahār-e-holī hai
tarāne pyaar ke gaao bahār-e-holī hai
na ham se ruuTh ke jaao bahār-e-holī hai
ab aao lauT bhī aao bahār-e-holī hai
rañgoñ meñ rang rachāo bahār-e-holī hai
diloñ kā bhed miTāo bahār-e-holī hai
gulāl abiir uḌaao bahār-e-holī hai
manāo jashn manāo bahār-e-holī hai
wafa ke phul khilao bahaar-e-holi hai
nazar nazar se milao bahaar-e-holi hai
hanso to sab ko hansao bahaar-e-holi hai
dilon ki pyas bujhao bahaar-e-holi hai
nazar se dil mein samao bahaar-e-holi hai
gale se sab ko lagao bahaar-e-holi hai
wafa ka rang jamao bahaar-e-holi hai
tarane pyar ke gao bahaar-e-holi hai
na hum se ruTh ke jao bahaar-e-holi hai
ab aao lauT bhi aao bahaar-e-holi hai
rangon mein rang rachao bahaar-e-holi hai
dilon ka bhed miTao bahaar-e-holi hai
gulal abir uDao bahaar-e-holi hai
manao jashn manao bahaar-e-holi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.