phir dhum machai holi ne
phir ḳhanda-e-gul kā shor huā
phir mausam-e-gul kā saaz bajā
phir rañg rañg ke phuul khile
phir daur ḳhizāñ kā miT ke rahā
phir shor-e-noshā-nosh uThā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
uḌte haiñ abiir gulāl yahāñ
chehre haiñ sabhoñ ke laal yahāñ
koī hāl-mast koī māl-mast
luTtā hai nashe kā maal yahāñ
phir daftar-e-raqs-o-rañg khilā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
har naar akaḌtī tantī hai
bejā būjhe bantī hai
Thānī hai nashe kī mardoñ ne
phir ghuT kar gāḌhī chhantī hai
phir ġhaT ġhaT bhañg kā daur chalā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
ik dhīñgā-mushtī hotī hai
kuchh dañgā-kushtī hotī hai
jo rañg se Darte haiñ un se
saḳhtī-o-durushtī hotī hai
ūdham sā hai galiyoñ meñ machā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
koī shor kare koī gaalī bake
lab itne chale chal kar na take
khāne vaalā muñh koī nahīñ
yuuñ kahne ko pakvān pake
har chehra hai luthḌā luthḌā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
koī tolā hai koī māshā hai
kyā achchhā khel-tamāshā hai
kahīñ tabla sitār mirdañg kahīñ
kahīñ baajā hai kahīñ tāshā hai
naġhme kī rut naġhme kī fazā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
hai naach kī mahfil āñgan meñ
hai saaz khanaktā jhāñjhan meñ
'ramdayyā' jab pag dhartī hai
'sarjū' ḳhush hotā hai man meñ
tā-thayyā kī lagtī hai sadā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
haiñ naach meñ saare nar-nārī
hai haat meñ sab ke pichkārī
ik raas rachī hai ghar ghar meñ
jaise aa.e huuñ girdhārī
hai rāg-rañg ruup nayā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
holī kī jaltī aag ke din
ye rañg ke din ye raag ke din
sardī bhī nahīñ garmī bhī nahīñ
haiñ mo.atadil itne phaag ke din
mausam hai na khāne-pīne kā phir dhuum machā.ī holī ne
phir Dhol bajā phir rañg uḌā phir dhuum machā.ī holī ne
phir KHanda-e-gul ka shor hua
phir mausam-e-gul ka saz baja
phir rang rang ke phul khile
phir daur KHizan ka miT ke raha
phir shor-e-nosha-nosh uTha phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
uDte hain abir gulal yahan
chehre hain sabhon ke lal yahan
koi haal-mast koi mal-mast
luTta hai nashe ka mal yahan
phir daftar-e-raqs-o-rang khila phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
har nar akaDti tanti hai
beja bujhe banti hai
Thani hai nashe ki mardon ne
phir ghuT kar gaDhi chhanti hai
phir ghaT ghaT bhang ka daur chala phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
ek dhinga-mushti hoti hai
kuchh danga-kushti hoti hai
jo rang se Darte hain un se
saKHti-o-durushti hoti hai
udham sa hai galiyon mein macha phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
koi shor kare koi gali bake
lab itne chale chal kar na take
khane wala munh koi nahin
yun kahne ko pakwan pake
har chehra hai luthDa luthDa phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
koi tola hai koi masha hai
kya achchha khel-tamasha hai
kahin tabla sitar mirdang kahin
kahin baja hai kahin tasha hai
naghme ki rut naghme ki faza phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
hai nach ki mahfil aangan mein
hai saz khanakta jhanjhan mein
'ramdayya' jab pag dharti hai
'sarju' KHush hota hai man mein
ta-thayya ki lagti hai sada phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja rang uDa phir dhum machai holi ne
hain nach mein sare nar-nari
hai hat mein sab ke pichkari
ek ras rachi hai ghar ghar mein
jaise aae hun girdhaari
hai rag-rang rup naya phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
holi ki jalti aag ke din
ye rang ke din ye rag ke din
sardi bhi nahin garmi bhi nahin
hain moatadil itne phag ke din
mausam hai na khane-pine ka phir dhum machai holi ne
phir Dhol baja phir rang uDa phir dhum machai holi ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.