holi
aa dhamke aish o tarab kyā kyā jab husn dikhāyā holī ne
har aan ḳhushī kī dhuum huī yuuñ lutf jatāyā holī ne
har ḳhātir ko ḳhursand kiyā har dil ko lubhāyā holī ne
daf rañgīñ naqsh sunahrī kā jis vaqt bajāyā holī ne
bāzār galī aur kūchoñ meñ ġhul-shor machāyā holī ne
yā svāñg kahūñ yā rañg kahūñ yā husn batā.ūñ holī kā
sab abran tan par jhamak rahā aur kesar kā māthe Tiikā
hañs denā har-dam nāz-bharā dikhlānā saj-dhaj shoḳhī kā
har gālī, misrī, qand-bharī, har ek qadam aTkhelī kā
dil shaad kiyā aur moh liyā ye, jauban paayā holī ne
kuchh table khaTke taal baje kuchh Dholak aur murdañg bajī
kuchh jhaḌpeñ biin rabāboñ kī kuchh sārañgī aur chañg bajī
kuchh taar tambūroñ ke jhañke kuchh DhamDhī aur muñh-chañg bajī
kuchh ghuñgrū khaTke jham-jham-jham kuchh gat gat par āhañg bajī
hai har dam nāchne gaane kā ye taar bañdhāyā holī ne
har jāgah thaal gulāloñ se, ḳhush-rañgat kī gul-kārī hai
aur Dher abīroñ ke lāge, so ishrat kī tayyārī hai
haiñ raag bahāreñ dikhlāte aur rañg-bharī pichkārī hai
muñh surḳhī se gulnār hue tan kesar kī sī kyārī hai
ye ruup jhamaktā dikhlāyā ye rañg dikhāyā holī ne
har aan ḳhushī se aapas meñ sab hañs hañs rañg chhiḌakte haiñ
ruḳhsār gulāloñ se gul-gūñ, kapḌoñ se rañg Tapakte haiñ
kuchh raag aur rañg jhamakte haiñ kuchh mai ke jaam chhalakte haiñ
kuchh kuude haiñ, kuchh uchhle haiñ, kuchh hañste haiñ, kuchh bikte haiñ
ye taur ye naqshā ishrat kā har aan banāyā holī ne
aa dhamke aish o tarab kya kya jab husn dikhaya holi ne
har aan KHushi ki dhum hui yun lutf jataya holi ne
har KHatir ko KHursand kiya har dil ko lubhaya holi ne
daf rangin naqsh sunahri ka jis waqt bajaya holi ne
bazar gali aur kuchon mein ghul-shor machaya holi ne
ya swang kahun ya rang kahun ya husn bataun holi ka
sab abran tan par jhamak raha aur kesar ka mathe Tika
hans dena har-dam naz-bhara dikhlana saj-dhaj shoKHi ka
har gali, misri, qand-bhari, har ek qadam aTkheli ka
dil shad kiya aur moh liya ye, jauban paya holi ne
kuchh table khaTke tal baje kuchh Dholak aur murdang baji
kuchh jhaDpen bin rababon ki kuchh sarangi aur chang baji
kuchh tar tamburon ke jhanke kuchh DhamDhi aur munh-chang baji
kuchh ghungru khaTke jham-jham-jham kuchh gat gat par aahang baji
hai har dam nachne gane ka ye tar bandhaya holi ne
har jagah thaal gulalon se, KHush-rangat ki gul-kari hai
aur Dher abiron ke lage, so ishrat ki tayyari hai
hain rag bahaaren dikhlate aur rang-bhari pichkari hai
munh surKHi se gulnar hue tan kesar ki si kyari hai
ye rup jhamakta dikhlaya ye rang dikhaya holi ne
har aan KHushi se aapas mein sab hans hans rang chhiDakte hain
ruKHsar gulalon se gul-gun, kapDon se rang Tapakte hain
kuchh rag aur rang jhamakte hain kuchh mai ke jam chhalakte hain
kuchh kude hain, kuchh uchhle hain, kuchh hanste hain, kuchh bikte hain
ye taur ye naqsha ishrat ka har aan banaya holi ne
- Book : intekhab naziir akbaraabaadii (Pg. 38)
- Publication : rashid hasan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.