holi
ajiib rañg se aa.ī bahār holī meñ
zamīn-e-hind banī lāla-zār holī meñ
bas ab to sar hai kaḌhā.ī meñ pān.cho ghī meñ haiñ
baḌe maze ke haiñ lail-o-nahār holī meñ
har ik hai be-ḳhud-o-sarshār mast-o-dīvāna
baġhair-e-duḳhtar-e-raz hai ḳhumār holī meñ
piye hue haiñ sabhī aaj to mai-e-holī
bahak rahā hai har ik bāda-ḳhvār holī meñ
kisī ko gāliyāñ diiñ aur kisī ko Thoñk diyā
ye chhoḌ rakkhe haiñ kaise bijār holī meñ
bashar kā zikr hī kyā mast dasht-o-sahrā haiñ
ḳhushī se jhūmte haiñ kohsār holī meñ
uchhalte kūdte haiñ nāchte haiñ pī pī kar
ḳhud apne chaak bane haiñ kumhār holī meñ
kahāñ ke sāġhar-o-mīnā kahāñ ke jām-o-subū
tum ok se piyo le ke udhār holī meñ
nasīm-e-mast ke sadqe sharāb ke qurbāñ
lagāte haiñ vo gale baar baar holī meñ
samajh lo apnā hī ghar is ġharīb-ḳhāne ko
balā se gar nahīñ milte kahār holī meñ
kahā jo marte haiñ tum par to hañs ke farmāyā
mareñ tumhāre adū duur paar holī meñ
'zarīf' dekho to kaisī machā.ī hai ūdham
phudak rahe haiñ ye kaise chamār holī meñ
ajib rang se aai bahaar holi mein
zamin-e-hind bani lala-zar holi mein
bas ab to sar hai kaDhai mein pancho ghi mein hain
baDe maze ke hain lail-o-nahaar holi mein
har ek hai be-KHud-o-sarshaar mast-o-diwana
baghair-e-duKHtar-e-raz hai KHumar holi mein
piye hue hain sabhi aaj to mai-e-holi
bahak raha hai har ek baada-KHwar holi mein
kisi ko galiyan din aur kisi ko Thonk diya
ye chhoD rakkhe hain kaise bijar holi mein
bashar ka zikr hi kya mast dasht-o-sahra hain
KHushi se jhumte hain kohsar holi mein
uchhalte kudte hain nachte hain pi pi kar
KHud apne chaak bane hain kumhaar holi mein
kahan ke saghar-o-mina kahan ke jam-o-subu
tum ok se piyo le ke udhaar holi mein
nasim-e-mast ke sadqe sharab ke qurban
lagate hain wo gale bar bar holi mein
samajh lo apna hi ghar is gharib-KHane ko
bala se gar nahin milte kahaar holi mein
kaha jo marte hain tum par to hans ke farmaya
maren tumhaare adu dur par holi mein
'zarif' dekho to kaisi machai hai udham
phudak rahe hain ye kaise chamar holi mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.