holi
ek aurat kī zabān se
chal mirī sundar sahelī ham kahīñ chhup jā.eñge
aaj hai holī kā din pītam mire ghar ā.eñge
sāmne jab maiñ na ā.ūñgī bahut ghabrā.eñge
har jagah DhūñDeñge mujh ko DhūñDh kar sharmā.eñge
sāmne aa jā.ūñgī pītam ke ḳhush ho jā.eñge
un meñ maiñ kho jā.ūñgī aur mujh meñ vo kho jā.eñge
mere man ke chheḌne ko mujh se vo baiTheñge duur
maiñ jo uljhūñgī to pītam muskurā.eñge zarūr
uTh rahī hai lahr sī lahrā rahā hai merā man
ho sake to chuum lūñgī aaj pītam ke charan
chhīn kar ākāsh kī godī se taare lā.ūñgī
un ko bhī dāruñgī aur maiñ ḳhud bhī daarī jā.ūñgī
sej phūloñ kī banā.ūñgī maiñ pītam ke liye
barrā se kah do ki ab fursat nahīñ ġham ke liye
aaj pītam ā.eñge aa.egī mere ghar bahār
dekh bigḌā to nahīñ ai aa.ine merā siñghār
uudī uudī badliyoñ se chhan ke girtī hai phuvār
aaj pītam ā.eñge maiñ ho rahī huuñ be-qarār
ban gayā hai zarra zarra mere ghar kā chashm-e-hūr
aaj pītam ā.eñge aa.egā mere ghar meñ nuur
chhiḌ rahī hai rāgnī man kī rabāb-o-chañg se
aaj nahlā.ūñgī pītam ko gulābī rañg se
bhiig jā.eñge to dāman se havā dūñgī unheñ
band kar dūñgī dvāre aaj rokūñgī unheñ
sarv ke saa.e meñ paatī huuñ maiñ pītam kī jhalak
aaj har āvāz meñ suntī huuñ sāġhar kī khanak
pī mire ghar ā.eñge shāyad nahīñ tujh ko ḳhabar
ai papīhe bāvre Topī kahāñ bolā na kar
ek aurat ki zaban se
chal meri sundar saheli hum kahin chhup jaenge
aaj hai holi ka din pitam mere ghar aaenge
samne jab main na aaungi bahut ghabraenge
har jagah DhunDenge mujh ko DhunDh kar sharmaenge
samne aa jaungi pitam ke KHush ho jaenge
un mein main kho jaungi aur mujh mein wo kho jaenge
mere man ke chheDne ko mujh se wo baiThenge dur
main jo uljhungi to pitam muskuraenge zarur
uTh rahi hai lahr si lahra raha hai mera man
ho sake to chum lungi aaj pitam ke charan
chhin kar aakash ki godi se tare laungi
un ko bhi darungi aur main KHud bhi dari jaungi
sej phulon ki banaungi main pitam ke liye
barra se kah do ki ab fursat nahin gham ke liye
aaj pitam aaenge aaegi mere ghar bahaar
dekh bigDa to nahin ai aaine mera singhaar
udi udi badliyon se chhan ke girti hai phuwar
aaj pitam aaenge main ho rahi hun be-qarar
ban gaya hai zarra zarra mere ghar ka chashm-e-hur
aaj pitam aaenge aaega mere ghar mein nur
chhiD rahi hai ragni man ki rabab-o-chang se
aaj nahlaungi pitam ko gulabi rang se
bhig jaenge to daman se hawa dungi unhen
band kar dungi dware aaj rokungi unhen
sarw ke sae mein pati hun main pitam ki jhalak
aaj har aawaz mein sunti hun saghar ki khanak
pi mere ghar aaenge shayad nahin tujh ko KHabar
ai papihe bawre Topi kahan bola na kar
- Maikhana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.